Egypt ki Kahani Humari Zubani in Hindi and Urdu

Aaj ke topic mein parhen Egypt ki Kahani Humari Zubani. Egypt duniya mein misar ke name se bhi jana jata hai. Hum misar ki kahani suna rahe hain. Aur Egypt ki sair kyon mashhoor hai. Aur hum aap ko Egypt ke Ahram ke bare mein batainge.

Egypt ki Kahani

Egypt Husan ki dewtaa aur hawas ke hawale se naami girami naam “Malika Qalu Patraa” ka desh hai.
Egypt dunia ke qadeem mulkon mein se ek mulk hai. Jahan pe sab se pahle insanon ke beemarion ko khatam karne ke lye homeopathic ke cheezon se dawayen banayi jati thi. Aap ne world ke facts ke bare mein suna hoga. Sab se zyada facts Egypt mein hain.

Contents

Egypt Kahan Hai

Egypt Aferica continent (khand) mein aata hai. Jiske paros mulk Isreal aur Bahrain hain. Aur Egypt ko Asia aur Aferica ke beech ke pull (Bridge) bhi mana jata hai . Egypt ki mukalam aabadi 9 crore 73 lakh hai. Egypt ka Flag 3 colours pe mubni hai. Aur beech mein eagle parinda bhi hai jo is mulk ka qaumi nishan bhi hai aur yaqeen bhi.

Misar Ki Abadi

Egypt yani Misar arab mulkon mein sab se zyada population ke hawale se bhi famous hai. Poore Misar ki aabadi registaan se bhari huwi hai. Bus ek nile darya hai jis ke kinare wale zameene aabad hoti hai.

Iss mulk mein apni aabadi 99% hai aur 1 % log baher wale count kiye jate hain. Misar mein iski apni zabaan arabi hai aur wahi hi sarkari zabaan bhi. Aur is mulk ki 85 population Muslim Sunni hai.

Hazrat suleman aur Hazrat yousif ale salaam ka rishta bhi is mulk se hi tha. Hazrat Yousif ali salam se pahle yahan ke log 1400 buton ko mante aur pooja karte the. Jis ko hazrat youisf ale salam ne khatam karwa dia tha.

Also Read: HISTORY OF KARACHI IN URDU

Egypt Ki Kahani in Hindi

Egypt ke purane badshahon ka yeh yaqeen tha ke hum ek dafa phir zinda honge. Iss lye unhon ne apne dafan hone ke liye ahram banwaye the. Aur apne lashon ko wahi dafan karne ki wasiyat ki thi. Aj bhi poori duniya mein kisi se bhi poochenge ke aap ghoomne ke liye Egypt kiyon jate hian. To pata chalega ka wahin duniya ki qadeem cheezon ki nimasih aur Staute pare hain.

Poori duniya mein sab se pahle ahram banane wala mulk bhi Egypt tha. Jahan Firaoon ne Hazrat Esaa ke aane se 2600 saal pahle banwaya tha. Aur wo ahram banana mein 20 saal lag gaye the.

Misar ka 18 june azaadi ka din hai . jab hazrat Usman Ghani ne fatah kia tha. Wese Pakistan aur Egypt mein 3 ghante ka faraq hai. Yahan se Egypt 3 ghante peeche hai time mein. Muslim mulkon mein Pakistan ke bani Quid e azam ne sab se pahla visit Egypt ka kia tha. Aur 1951 mein baqaida doara kiya. Aaj bhi poori duniya mein sab se zyada khajoor paida aur export karne wala mulk hai . Injeer uske doosri export hai.

Also Read: Interesting Facts about Pakistan in Urdu

Egypt ka Guzar Safar

Egypt apni paidawar (growth) ke hawale se hi apna guzar safar chalata hai. Chemical industry , Cruid oil industry and Cosmetic Industry bhi iski income ka main source hai. Jis se is mulk ki budget banti hai.

Duniya mein “ 7 wonder places of the world” mein se ek “wonder place” matlab “ Pyramid of Egypt” misar ke ahram bhi iss mulk mein jure hian. 2020 mein bhi 80 lakh log Egypt aye the siahat karne. Egypt mein 2011 mein aane wale inqalab ne Egypt ko baqaida naya aur famous bana dia tha.

Duniya mein har roz aur har jagah istemal hone wali cheezen Jese ke:

  • Pen
  • Tooth Paste
  • Taala (Keys)
  • Saal men 365 days
  • Ek saal men 12 mahene
  • Purani dress (kapre) 5000 saal pahle ka jora

Yeh cheezen duniya mein Egypt ke log hi mutaarif karwa chuke hain. .

Also Read: Mohenjo Daro History in Urdu [History and Facts]

3 Comments

  1. www.xmc.pl May 29, 2022 Reply
    • adminAuthor May 30, 2022 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *