History of Kashmir in Urdu [Interesting Story]

History of Kashmir in Urdu mein hum Kashmir ki maloomat, history, population aur interesting facts ke bare mein bata rahe hain. To chaliye topic ka aghaz karte hain.

Kashmir history in Urdu

Kashmir qudarati tor par ek khoobsurt wadi hai. Jiss ke liye humesha India aur Pakistan ke darmiyan tanaza chalta rahta hai. Kashmir ke 3 hisson mein bata huwa hai. Kuch Pakistan mein, Kuch India mein aur kuch China mein. India mein jo Kashmir hai, uss mein Jammu and Kashmir aur Ladakh shamil hain. Jab ke Pakistan mein jo Kashmir hai, uss mein Azad Kashmir, Gilgit, and Baltistan shamil hain. Aur China ke zere intezam Aksai Chin and the Trans-Karakoram Tract shamil hain. Tareekhi tor par Kashmir ko Wadi e Kashmir kaha jata hai.

Contents

Kashmir Short History in Urdu

Pehli sadi ke pehle half mein Kashmir ka khitta hindu mazhab aur bad mein budh mazhab ka ek ahem markaz ban gaya. Phir 9wen sadi mein Shaivism ne janam liya. Kashmir Islamization 31wen aur 15wen sadi ke doran huwi. Islam mein yahan nayee sahoolaten ayeen. Jin mein carpet weaving, papier mache, silk production aur processing etc shamil hain.

1339 mein Shah Mir Kashmir ka pehla muslim hukamran bana. Jisne Shah Mir khandan ka iftataah kya. Aur inke hukamrano ne agle 5 sadiyon tak Kashmir par hakumat ki. Bashamool Mughal Saltanat ne 1586 se 1751 tak hakumat ki, aur Afghan Durrani Saltanat ne 1747 se 1819 tak hakumat ki. Issi saal Ranjit Singh ke matehat sikhon ne Kashmir par qabza kar liya. Phir iss ke baad angrezon ne bhi hakumat ki. Yeh silsala 1947 tak chala. Aur uss ke baad yeh 3 hisson mein bat gaya. Jo aaj tak hai.

Short History of Azad Kashmir in Urdu

Azad Kashmir 1947 ke bad qaim hua. Jab Pakistan aur India mein tehrao bahal hua. Azad Kashmir Pakistan ke hisse mein aya. Kashmir no to Pakistan ka sooba hai aur na e agency. Isse khud Mukhtiyar riyasat tasavar kiya jata hai. Halake isse security Pakistan mohya karta hai. Iska raqba takreeban 650 square miles (1,680 square km) hai. Iss ki sarhaden Jammu and Kashmir, Pakistan ke Punjab, Khyber Pakhtunkhwa aur Gilgit-Baltistan se milti hain.

Kashmir ek aisa topic hai jis par Pakistan aur India humesha larte rehte hain. Siyasat dan apni siyasat chamkane ke liye Kashmir ko mozoo cherte rehte hain. Kashmir mein Muslim zyada abad hain.

Conclusion:

Hum ne short history batayee Kashmir ke bare mein wo bhi urdu mein. Agar apko humari yeh post kaisi lagi hume comments section mein zaroor batayen. Agar ko request ya shikayat ho to hume Contact kar sakte hain.

2 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *