Interesting Facts about Pakistan in Urdu

Interesting Facts about Pakistan in Urdu humara aaj ka topic hai. Yahan hum pakistan ke bare mein 10 amazing aur interesting facts batayege. To chaliye topic ka aghaz karte hain.

Interesting Facts about Pakistan in Urdu

The Islamic Republic of Pakistan yani “islami jamoorya pakistan” 14 august 1947 mein janoobi asia mein wajood aya. Jab Muslims ka ek barha hissa apne hi watan mein hakoomat karne ke liye hindustan se alag hua. Ab Pakistan atomi taqat ban chuka hai. Aaj hum pakistan ke bare mein 10 interesting facts batane jarhe hain.

Yeh hain 10 Interesting Facts About Pakistan in Urdu

1. Do pakistanyon ne Nobel Peace inaam jeeta. Marhoom Abdus Salam ek theoretical physicist, jinhon ne 1979 mein electroweak unification theory mein unki sharakt ke liye physics ka Nobel inaam share kya. Aur Malala Yousafzai Jin ko 17 saal ki umer mein Nobel Peace ka inaam dya gaya. Wo iss waqat ki sab se kum umer inaam yafta ban gayee hain.

2. Pakistan ka naam do alfaaz se makhooz hai, “Pak” jo farsi zuban mein muqadus, saaf ya khalis hai. Aur “istan” hindi lafz hai. Jo “isthan” ka makhooz hai. Jiss ka matlb jagha (place) hai.

3. Pakistan mein 6 namzad UNESCO warse ke maqamat hain. Moenjo-daro mein aasar-e-qadima ke khandrat, Takht-i-Bahi mein baqi hain. Lohore mein qilla aur shalimar bagat, Makli mein yadgeeren, Fort Rohtas aur Taxila ke qadeem khandrat.

4. United Nation ke mutabik Pakistan mein sab se bada irrigation system Mojood hai.

5. The Atlantic reports ke mutabik duniya ke tamam football gendon mein taqreeban 40% ek Pakistan ke shehr Sialkot mein tayar ki jati hain.

6. Duniya ka sab se pehla computer virus Pakistan ke do bhaiyon ne banaya. Basit Farooq Alvi aur Amjad Farooq Alvi ne “Brain” nami virus takhliq kya. Jo 1986 mein daryaft kya gaya aur IBM PC platforms ko nishana banaya gaya.

7. Duniya ke chand buland tareen pahar (mountains) Pakistan mein mojood hain. Duniya ka doosra sab se barha mountain issi country main hai. Uss ke bohut se naam hain. Maqami tor par usse Dapsang ya Chogori kaha jata hai. Enlish mein isse Mount Godwin-Austen aur Chinese mein Qogir Fengin kaha jata hai. Lekin zyada tar log isse K2 ke naam se jante hain. Jo 8,611 meters, ya 28,251 feet par khara hai.

8. Travel+Leisure magazine ke mutabik Karakoram Highway duniya ka buland tareen international road hai. 800 mile lambi highway Pakistan ko western China se milati hai. Aur zyada se zyada 15,300 feet ki bulandi tak pohchti hai.

9. Bulandiyon ki bat karen to duniya ki sab se bulandi par ATM ka taluk National Bank of Pakistan se hai. Yeh Gilgit-Baltistan mein Khunjerab Pass mein mojood hai. Yeh November 2016 mein qaim kya gaya tha. Aur sateh samandar se 15,397 feet buland hai.

10. Mohtarma Benazir Bhutto duniya ke pehli aurat thi. Jis ne Muslim aksiryat mein Jamhoori Hukumat ki sarbarahi ki.

Also Read: HISTORY OF KARACHI IN URDU

Conclusion:

Aaj hum ne pakistan mein mojood kuch interesting facts ke bare mein bataya. Agar humari koshish apko achi lagi to hume comments section mein zaroor batayen. Agar hum se koi cheez reh gayee ho, koi shikayat ya request karni ho to hum se contact kar saktay hain.

11 Comments

  1. Ayan July 27, 2022 Reply
  2. zoritoler imol September 9, 2022 Reply
  3. netent demo April 12, 2023 Reply
  4. travel shows 1990s September 1, 2023 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *