Google kisne banaya : History of Google in urdu

Google kisne banaya? yeh wo sawal hai jo internet par kafi log search karte hain. Hum apko google ki poori history batane jarhe hain wo bhi urdu mein. Aaj hum batayenge ke google kya hai aur kaise kam karta hai. Aur Google ka malik kaun hai etc.

Google kisne banaya

Contents

Google kya hai

Google ek search engine hai jo apko apne computer, smart phone yahan tak ke smart tv ka istemal karte huwe duniya mein kahien se bhi maloomat talash karne deta hai. Yeh iss waqat ki duniya ki sab se barhi search engine hai. Agar apko koi khas tips talash karna hai to tips ka name search karoge to asaan se dhoond kar deta hai. Agar apko kisi actor ya actress etc ki tasveer talash karne hai to google image apko dikha dega.

Google ko kisne banaya aur uska malik kaun hai

Google ke malik ke naam hain Larry Page aur ‎Sergey Brin. Isse pehle BackRub ke naam se jana jata tha. Magar baad mein Larry Sergey ne iss ka name badal kar Google rakh dya. Jo lafz Googol se mutasir hai. Company ka headquarter Mountain View, California mein hai.

Google kab bana tha

Google company ka bunyad America mein 1998 mein rakha gaya tha. Jisse American search engine bhi kaha jata hai. Pehle isse Google LLC kaha jata tha magar ab isse Google Inc ke naam se jana jata hai. Iss company ne 1998 se 2017 tak Alphabet Inc se mohaida kya tha. Aaj internet par zyada tar searches Google search engine par hoti hain.

History of Google in urdu

Mujhe umeed hai ke ab aap samjh gaye honge ke google kya hai aur kisne banaya hai. Ab hum google ki history dekhte hain. Google search engine august 2004 mein manzar-aam par aya. Jiss ne apni pehli tijarat taqriban 43.1 million dollar kamaye. Uss ke baad yeh company earning ke hisaab se sab companies ko peeche chorti jarhi hai. Google sirf earning ke hawale se nhi balke iss ne technology ki duniya mein bhi apna ek alag mayar qaim kya hai. Logon ko sehtmand zindagi guzarne, family aur friends se connect rehne, online paise kamane aur bhi kai sahoolat frahm karta hai. Iss ki qadar 40,000,000,000$ se bhi zyada hai.

Iss ka domain Google.com 15 September 1997 mein register hua tha. Aur company ne isse 1998 mein shamil kya gaya tha. 2004 tak Google har per quarter mein 25$ million dollar ki earning kar raha tha. 2 saal bad company ko 200$ million se zayada salyana munafa hua. Iss ki kamyabi ke sath kai aur chalanges samne aye.

Motorola ke haasil hone se google ko mobile ke business mein dakhil hone ki salahyat haasil huwe. Halake Motorola se iss ko kuch khas earning nhi mil rhi thi. Iss liye iss ne 2011 mein 1.25$ billion mein bech dya. Uss ke baad google adsense aur google ads ne to aaj tak dhoom machai huwee hai. Aaj google apke samne hai bohut kamyabi ke sath.

Google kaise chalate hain

Google search istemal karne ya chalane ke liye apne browser mein google.com address kholen. Search box mein koi lafz ya jumla type karen aur enter press karen ya google search button par click karen. Apke samne google bohut se result dega. Apko jo sahi lage wo check kar saktay ho. Apko ab to Google ka app bhi mil jayega. Uss mein address type nhi karni parthi sirf apne lafz ya jumla jisko search karna hai wo likhna parhta hai. Google ne ab to vice search bhi mutarif karwaya hai. Jahan par lafzon ko type nhi balke bol ke search kartay hai.

Google ke dusre products aur services

Jaise ke apko pata hai Google tezi se tarqi kar rha hai. Aye din wo new products aur services lunch karta rehta hai. Hum apko google ke products aur service ke name batane jarhe hain. Jo iss waqat tak kabile istemal hain.

Android, Blogger, Chromebook, Chrome OS, Gmail, Google Ads, Google AdSense, Google Alerts, Google Analytics, Google App Engine. Google Assistant, Google Blog, Google Books, Google Calendar, Google Chrome, Google Classroom, Google Cloud, Google CSE (Custom Search Engine), Google Daydream View, Google Developer, Google Docs, Google Drive, Google Duo, Google Earth, Google Express, Google Fiber, Google Fonts, Google Forms, Google Fuchsia, Google Glass, Google Groups, Google Hangouts, Google Home, Google Homepage, Google Images, Google Keep, Google Lens, Google Mail, Google Maps, Google Meet, Google Moon, Google My Maps, Google Nest, Google News, Google Ngram Viewer, Google Now, Google Patents, Google Photos, Google Pixel, Google Play, Google Play Music, Google Scholar, Google Sheets, Google Shopping, Google Sites, Google Slides, Google SMS, Google Street View, Google Toolbar, Google Translate, Google Trends, Google URL Shortener, Google Video, Google Voice, Google Wallet, Google WebMaster tools, Google Workspace, Google.org, My Activity, Quick Draw, Stadia, Waze, Wing, YouTube.

Jaisa ke hum ne ooper kaha ke Google aye din apni new services aur products launch karta rehta hai. Yeh services aur products wo hain jo abhi tak Google iss ki services de raha hai. Aage chal ke shayed aur bhi bhi lauch kare.

Google ki services jo band ho chuki hai

Neeche hum ne google ki wo services bata rhe hain jo google ne isse kisi karn ban kar diya hai. Jo ab google in services ya products ko ab support nhi karta.

Google+, Google Allo, Google Answers, Google Base, Google Buzz, Google Checkout, Google Code, Google Code Search, Google Deskbar and Google Desktop, Google Dictionary, Google Directory, Google Fast Flip, Google Helpouts, Google Labs, Google Market, Google Moderator, Google Reader, Google Sets, Google Sketchup, Google Talk, Google Tango, Google Web Accelerator, iGoogle, Orkut, Picasa, Project Ara, Youtube Video Edittor.

Jaise ke iss waqat sirf yeh products ya services hain jo google discontinued kar chuka hai. Aage chal ke shayed aur bhi kare.

Conclusion:

Hum ne google ke tamam products, services etc ke bare mein bataya hai. Humee humeed hai apke knowledge mein zaroor izzafa hua hoga. Agar aap chahte hain ke Iss post ke related koi aur post likhen to comments section mein topic name likh ke bhejen. Hum uss topic par article likh denge. thanks.

9 Comments

  1. zoritoler imol September 8, 2022 Reply
  2. alex July 26, 2023 Reply
  3. https://soxforhorses.com September 9, 2023 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *