Mobile Phone Kab Ijad Hua Invention of Mobile Phone in Urdu

Aaj Ka Humara Topic Hai Mobile Phone Kab Ijad Hua. Aur Mobile Kiss Ne Ijad Kya Hum Aapko Uss Ki Full Maloomat Aur Tareekh Se Waqif Karwate Hain. Hum Aap ko Bata Rahe Hain Ke Mobile Phone Ke Fayde Aur Nuksan Kya Hain. Hume Umeed Hai Ke Aap Ko Humari Mehnat Passand Aeigi. Hume Comment Kar Ke Apni Rai Se Zaroor Agha Karen.

Mobile Phone Kab Ijad Hua
Mobile Phone Kab Ijad Hua

Duniya mein aaj bhi kisi kitabon aur paper ke workon mein yeh maloomat shayed e mil sake. Jo hum bayaan karenge ke mobile phone se pahle phone ka ejaad huwa tha. Yaqeen na ho to poori tareekh se parda utha ke dekhte hain.

Contents

Mobile Phone Ka Ijad Full History

Yeh baat to sabh e poochna chahte hain ke aakhir mobile phone kab ijad hua. Yeh Italy ke ek mashahoor inventor (ejaad karne wala) Antonio Muecci ne 1849 mein dunia ka pahla basic phone mutaarif karwaya. Uss ke muqable mein Framce se taluq rakhne wale Charles Boursell ne 1854 mein usse ek devise mein pesh kiya.

Albata tareekh aj bhi graham bell ke naam ko yaad karti hai. Lekin haqeeqat kuch iss tarah hai ke usska malik ki hi thi. Iss phone ko banane wale American technology ke idare (AT&T) ne 1885 mein banaya tha. 1900 A.D tak yeh 160 million sell ho chuke thi. Aur dunia ka pahla cell/mobile phone MOTROLA ke baani aur malik MARTIN COOPER ne banayi thi. Jise GHANIZ BOOK OF THE WORLD RECORD foundation ki taraf se “Cell Phone Ka Baap” ke award se nawaza gaya tha.

Duniya Ka Pehla Mobile Phone

Yeh Sawal Bohat e Interesting hai. Kafi log yeh jan’na chahte hain. Ke Pehla mobile phone kis ne aur kab ijad kya to yeh raha uss ka jawab. Duniya ka pehla Cell Phone 1983 mein America Mein Banayi Gayi Jo 4000 Dollar mein Sell huwi thi.

Purane Phone Aur New Phone

Cell phone aur purani phone mein yeh faraq hota tha. Ke operator ke ilawa kisi aur admi ko pata nahin chal sakta tha ke kahan se call ayi. Qyon ke purane phone ke set mein fakat dialpad huwa karta tha. Jiss se number mila ke call karne parti thi.

Aur call tracking ka pata nahin maloaamat ho pata tha. Jab 1983 mein Call Tracking System ki ibtada aur nizaam aya tab operator ko pata chal pata tha. Gaon mein kisi ek bare aadmi ya aala officer ke ghar mein fakat ek set hone aur wo bhi connection aur wire lagane se chalta tha. Jo lines bichane aur telephone system lagane ke baad connection active hone ka riwaaj tha.

Shehron mein 2 sarkari officen Post Office aur Exchange office ek hi ke sath kaam karte the. Post office ke andar hi Exchange offices zim hoti thi. Dunia ke bohat gareeb mulkon mein yeh system aj tak nahi pochch paya hai . cell phone chalana to unke liye ek khuwab huwa karta tha.

Also Read: Google kisne banaya : History of Google in urdu

Smart Cell Phone (1973) Ke Baad Ki Duniya

Jab Science & technology ki dunia ne cell phone ke functions aur kaam dekhe to poori dunia mein bechne aur banane ke koshish mein lag gayi. Tarqi yaafta mumalik mein bhag dor much gayi ke iss industry ko sab se ahmyat dene se hi mulk aur areas tarqi ke raah pe chal sakte hian.

Apple Ka Mobile Kab Launch Hua

2007 ka dor kia shuru huwa ke APPLE company ke maalik aur Chief Executive Officer STEVE JOBS tha. Jiss ne crystal/display mobile launch kia jis ko Touch Screen mein pesh karke new function aur computer ke kaam mobile mein hi APPS ki soorat mien die gaye jis se.

  • Text
  • Call
  • Media
  • Photo
  • Voice
  • Search
  • Mail
  • Music
  • Social Apps
  • Audio/video
  • Storage

Aur bhi bohat functions banaye jis se poori dunia mein har cheez ka karobar, investment, business, transication, Order, notification, Conversation mumkin ban sake hain.

Also Read: Computer Kya Hai aur Kis ne Ijad Kia in Urdu

Mobile Phone Ke Fayde

Dunia ka wahid aur pahla system cell/mobile phone hi hai jis se dunyia mein sab se zyada awareness paida ho saki hai. Duniya ke har kone mein har cheez ki khabar ek hi time pe mumkin ho saki hai. Is liye hum yaqeen se kah sakte hain. Ke agar ‘STEVE JOBS” ko agar cell phone ka walad kaha gaya hai to ye haqeeqat bhi sabit hoti hai.

Mobile Phone Ke Nuksan

Duniya ki har technology mein agar fayde hain. To unn ke kuch nuksan bhi hote hai. Mobile pe social media ka bohat ziyada istemal hota hai. Hum ziyada detail mein nhi jate per thori jankaari aap ko de den ke mobile ka zyada istemal aap ki sehat jese ankhon ko kharab kar sakta hai. Students apni study ke bajai mobile istemal kate hain. Thora bohat paison ka bhi nuksan hai. Mobile insan ko sussat banati hai. Waqt ka ziyan etc. Agar mobile ko thora istemal kiya jai to behtar hoga.

10 Comments

  1. canadian pharmacy March 11, 2022 Reply
  2. canada pharmacies October 1, 2022 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *