History of Cricket in Urdu and Hindi

Entertainment aur sports ke shobe mein cricket ka bohat bara naam hai. Aaj ke dor mein cricket poori duniya me kheli aur dekhi jati hai. Aaj hum iss topic History of Cricket in Urdu pe bat karenge. To aaye mulahiza Karen:

History of Cricket
History of Cricket in urdu

Aaj se sadion baras pahle British government ke ek dehaat mein kuch bachon ka group aapis mein maza lene aur enjoy karne ke liye ek game khelne laga. Halanke wo yeh nahin jante the ke yeh aage chal ke ek mashhoor game banegi. Aur dunia mein iss game ko value di jayegi.

Halaat kuch iss tarah the ke uss time England ek gareeb mulk huwa karta tha. Aur wahan ke gareeb aur dehaati log ghulamon ki tarah zindagi basar kiya karte the. Auraton se kagaz pe sign karwa ke unhen zabardasti paise deke apna kaam karwaya jata tha. Aur na karne ki soorat mein unhen jahanam wasil kiya jaata tha.

Contents

Cricket ke Qanoon

Sun’ne mein yeh bhi aata hai ke Cricket ke experts inkshaaf karte hain. Ke cricket ka aagaz 1300 eiswi mein hi shuru ho chukka tha. Pahle yeh bachon ki game samjhi jaane lagi. Lekin jab iss mein fitness bante dekhi to ameer log bhi iss game ka hisa ban’ne lage.

Aur ameer log isse waqt ka time pass samjh kar dilchapsi lene lage. Yeh haqeeqat 1775 ke dor ki hai j “MCC” ki jaanab se sike (coin) ke zariye toss kia gaya. Aur “NO Ball” ka qanoon banaya gaya.

Us ke sath sath “UMPIRE” ke muqarari aur uss ke har faisle ko aakhri faisala samjha jayega. 1844 A.D men CANADA VS AMERICA ke beech mein hi “USA” ke dar-ul-hukoomat “NEW YORK” mein pahla “International Match” khela gaya tha.

Kahte hain ke #ENGLISHTEAM aur usske staff ne 1st UnOfficial October 1862 mein gair sarkari dora kiya tha. Aur match ke events huwe the. Jiss ke baad AUSTRALIA ne CANADA ke doare pe jaane ki haami bhar li.

Dunia mein pahli martaba sarkari test 1877 ke dor mein ENGLAND VS AUSTRALIA ke beech mein Australia mein shuru huwa tha.

Purani tareekh mein yeh bhi kaha jata hai. Ke dunia mein pahli dafa 1882 men Pahla test kahlne ke lye Australi ki team Engaland rawana huwe.

Banaye gaye qanoonon mein ek qanoon yeh bhi tha ke 1890 mein Test ke liye MCC ne kuch usool bhi bataye gaye . jiss mein bat ka wazan, ball ka wazan , wickets ki lambai, 2no innings mein koi bhi team wichket kharaab na karne ke zimedar run out, stamp out jese qanoon bhi shamil kiye gaye.

Also Read: Interesting Facts about Pakistan in Urdu

Changes in Cricket

1879 ki time mein jo qanoon nafiz kiya gaya tha. Uss mein over ke ball ka tadaad 4 se barha ke 5 muqrar kiya gaya.

1900 se pahle over ke ball ka number 8 tak bhi hota tha. Lekin 1900 mein iss ka shumar 8 se kam karke 6 tak rakha gaya.

Cricket uss waqt Olympic mein bhi shamil thi jab 1900 ka doar tha. Jahan England ne France ko shikast di thi.

Dunia mein cricket ka pahla tournament 1912 mein sajaya gaya tha. Jiss mein shamil hone wali teams, England, Australia aur South Aferica thi.

1962 mein England ne apni team ko naya bana ke Official kiya. Aur uske team ke player aur dress mein bhi tabdeeli ki gayi. Aur match ka 2sra title “one day” rakha gaya jis mein match ek hi din mein khatam ho jata tha.

Dunia ka pahla “CRICKET WORLD CUP” 1975 ke doar mein khela gaya tha. Jiss mein dunia ke 8 mulkon ke teams shamil huwi thi. Us world cup ka champion “West Indies” ne Australia ko shikast deke pahla World cup jeeta tha.

1992 ke world cup mein Pakistan ke mutalbe par sab teams ki kit tabdeel karke rangeen rakhi gayi thi. Aur match mein white ball istemal karne ka ailan huwa tha. Is match mein uss waqt ke Pakistani Captain aur mojooda waqt mein Pakistan ke Prime Minister “IMARAN KHAN” ke leadership mein England ko haraa ke World Cup ki Champion bani.

Uss ke baad lagataar circket mein changes ati rahin, Lekin sab se bari tabdeeli t20 ka agaaz tha. Yeh 2005 mein shuru ki gaee. Uss ke baad aaj tak kafi changes hoti rahin. aur aage bhi hongi.

Suggest to Read: Imran Khan Biography in Urdu

Conclusion:

Aaj is topic History of Cricket in Urdu mein hum se cirkcet ke history ke bare mein kuch khas maloomat mohya ki. Hume umeed hai ke aap ko humara yeh topic pasand aya hoga. Agar aap ko kuch sawal ho to hume comment box mein likhiye.

2 Comments

  1. zoritoler imol September 7, 2022 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *