Computer Kya Hai aur Kis ne Ijad Kia in Urdu

Computer kya hai, Computer kis ne ijad kia, Computer ki poori History jaane ge wo bhi urdu mein. Iss post mein hum Compute ke types, hardware, software etc ki poori maloomat batane jarhe hain.

Computer kya hai
Computer kya hai in urdu

Contents

Computer Kya Hai?

Yeh ek programmable electronic device hai. Jo data input kar ke usse processes karta hai. Aur nateeja output ke tor par pesh kart hai. Yeh apki data ko mehfooz karta hai. Aur mustakbil mein usse istemal karne ki sahoolat deta hai. Computer latini zuban ka word “Computare” se liya gaya hai. Jiss ka matlab hota hai hissaab lagana.

Ek Computer applications ko anjaam dene ke liye design kya gaya hai. Aur yeh hardware aur software ke zariye mukhtalif solution frahm karta hai. Yeh programon ki madad se kaam karta hai. Iss mein ek memory bhi hai jisse data, programs aur processing ke result ko mehfooz karta hai. Computer ke kuch hisse jin mein machinery, wires, transistors, circuits, hard disk ko hardware kaha jata hai. Jab ke data aur programs ko software kaha jata hai.

Computer Kis ne Ijad Kia

Yeh khayal kia jata hai ke Analytical Engine pehla computer tha. Jisse Charles Babbage ne 1837 mein ijad kya tha. Iss ne punch cards ko read-only memory ke tor par istemal kya. Charles Babbage ko father of computer bhi kaha jata hai.

Also Read: CV Kaise Banate Hain – How to Make CV in Urdu

Computer ka Full Form Kya Hota Hai

Iss waqat kafi users yeh search kartay hain ke Computer ka full form kya hota hai. To hum apko bata den ke computer ka official tor par to koi full form nhi hai. Magar practical tor par iss ka full from yeh hai. C.O.M.P.U.T.E.R full form: Commonly Operated Machine Particularly Used in Technical and Educational Research.

Wo Basic Parts Jin Ke Bagair Computer Kam Nhi Karta

Processor: Yeh software aur hardware se hidayat par kaam karta hai.

Memory: Yeh CPU aur storage ke darmiyaan data transfer ke liye primary memory hai.

Motherboard: Yeh wo part hai jo computer ke sab parts ko jorta hai.

Storage Device: Yeh data ko permanently stores karta hai. Jaise ke hard drive etc.

Input Device: Yeh apko conputer mein data dakhal karne ke kaam ata hai. Jaise keyboard, mouse etc.

Output Device: Yeh apko output dekhne ke qabil bana hai. Jaise monitor etc.

Computer mukhtalif types mein divide kya gaya hai. Size ki buniyad par computer ko 5 types mein divide kya jaskta hai.

  1. Micro Computer
  2. Mini Computer
  3. Mainframe Computer
  4. Super Computer
  5. Workstations

1. Micro Computer Kya Hai

Yeh ek single-user computer hai. Jis ki speed aur storage ki capacity doosre computer ke types se km hai. Yeh microprocessor ke bataor CPU istemaal karta hai. Pehla micro computer 8 bit microprocessor chips ke saath banaya gaya tha. Micro Computer ki aam example mein laptops, desktop computers, personal digital assistant (PDA), tablets, aur smartphones shamil hain. Micro Computer ko aam istemal ke liye design aur tayaar kya gaya hai. Jaise browsing, searching, internet, social media, ms office etc shamil hai.

2. Mini Computer Kya Hai

Mini Computers ko Midrange Computers ke name se bhi jana jata hai. Isse single user ke liye nhi banaya gaya hai. Yeh multi users ke liye design kya gaya hai. Yeh aam tor par small business ke liye use hota hai. Kaafi companies bhi mini computer ka istemal karti hai. Misaal ke tor par kisi university ka admission ki nigraani ke liye istemal kya jata hai.

3. Mainframe Computer Kya Hai

Yeh ek multi user computer bhi hai aur ek saath hazaron users ki help karne ki salahiyat bhi rakhta hai. Iss ka istemal bari firms aur government tanzimon ke zariye apne business ko chalane ke liye kya jata hai. Kyo ke wo bari miqdar mein data ko save aur un par karwai kar saktay hain. Missal ke tor par Banks, universities, aur insurance companies apne users, students aur policy holder ka data save karne ke liye mainframe computer ka istemal karti hain.

4. Super Computer Kya Hai

Super computers har types ke computer se zyada mehnge hote hain. In mein save karne ki bohut bari gunjaish hoti hai. Super computer kaam ke liye makhsoos hote hain. Aur is trah khusoosi applications ke liye istemal hote hain. Jaise ke scientific aur engineering ke shobe mein bare baimane mein kam kartay hain. Isse aam tor par NASA mosam ki nigrani etc ke liye istemal karti hai. Aur isse electronics, petroleum engineering, weather forecasting, medicine, space research aur bhi kai kamon mein istemal kiya jata hai.

5. Work stations Computer Kya Hai

Yeh ek single user computer hai. Agrcha yeh ek personal computer ki trah hai. Lekin iss mein micro computer se zyada takatwar microprocessor aur high quality ka monitor hai. Save karne ki salahiyat aur raftar ke lehaz se yeh ek personal computer aur mini computer ke darmiyan ata hai. Work stations aam tor par applications jaise desktop publishing, software development aur engineering designs ke liye istemal hote hain.

Computer Ke Faide in Urdu

Apki paidawari salahiyat mein izzafa: Ek computer apki apidawari salahiyat ko barhata hai. Misaal ke tor par word processor ki buniyadi samjh hasil karne ke bad aap apne documents ko asaani se bana sktay ho. Uss mein changing kar saktay ho aur usse save kar saktay ho.

Internet se connection: Yeh apko internet se connect karta hai. Jo apko email bhejne, mawad ko browse karne, maloomat hasil karen, social media platform istemal karne aur bhi bohut kuch karne ki ijazat deta hai. Internet se connect hone ke baad aap apne door ke rehne wale doston, rishtay daron se bhi bat karna aur unhe dekh sktay ho.

Storage: Ek computer apko maloomat ki ek bari miqdaar ko save karne ki ijaazat deta hai. Misaal ke tor par aap apne projects, ebooks, documents, movies, pictures, songs, aur bhi kafi data save kar saktay hain.

Data organize aur maloomat: Yeh na sirf apko data mehfooz karne ki ijazat deta hai. Balke apko apni data ki organize karne ki bhi ijazat deta hai. Yeh apko apki data mehfooz karne ke liye folder deta hai, jisse aap koi bhi name de sktay hain. Esa karne se data apko asaani se mil jati hai.

Apki salahiyaton ke behtar banata hai: Agar apki grammar achi nhi hai to yeh apko english likhne mein madad karta hai. Isi trah agar aap math mein kache ho to yeh apko hisaab kitab mein bohut zyada madad karta hai.

Jismani tor par mazoor afrad ki madad karta hai: Jo log bol nhi sktay aur screen par kya likha hai usse parhne ke liye software install kar ke nabeena afrad ki help krta hai.

Computer for Entertainment

Aap computer ko games khelne, songs sun’ne, movies dekhne aur bhi bohat kuch karne ke liye istemal kar saktay ho.

Computer humari zindagi ka hissa ban chuka hai, bohut sari cheezen hain jo hum ek din mein kartay hain jo computer se jurti hain. Kuch misaalen neeche di jati hain.

ATM: Atm se raqam nikaltay waqat aap ek esa computer istemal kar rahe hote hain jo ATM ko hidayat dene aur uss ke mutabik raqam nikalne ki salahiyat deta hai.

Digital currency: Ek computer apke account mein apki len den aur balance ka record rakhta hai. Aur bank mein apke account mein jama ki hui raqam ko digital currency ke tor par mehfooz karta hai.

Aur bhi kaafi cheezen hain jo hum daily kartay hain aur wo comuter se chalti hain. Misaal ke tor par Trading, smartphones etc hain jin se hum har roz jurtay hain.

Also Read: Zong Internet Packages (2022) Daily, Weekly and Monthly Internet Bundles

23 Comments

  1. zoritoler imol September 4, 2022 Reply
  2. slot depo dana April 12, 2023 Reply
  3. tour travels August 18, 2023 Reply
  4. trekking gear rental August 19, 2023 Reply
  5. amiclear US August 21, 2023 Reply
  6. recycling computers August 22, 2023 Reply
  7. erc20 token generator August 23, 2023 Reply
  8. Beaded jump rope August 28, 2023 Reply
  9. Dor123 August 30, 2023 Reply
  10. Bezel September 3, 2023 Reply
  11. visa application canada September 5, 2023 Reply
  12. Birthday wishes September 8, 2023 Reply
  13. Education September 8, 2023 Reply
  14. cs代写靠谱吗 September 9, 2023 Reply
  15. Marilyn Jackson September 14, 2023 Reply
  16. pure whey protein September 15, 2023 Reply
  17. Alma Seymour September 20, 2023 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *