Urdu Translation in English [Top 4 App and Top 4 Websites]

Hum ne find kye hain top 4 App aur top 4 websites jahan par aap urdu translation in english kar sktey hain. Yeh free me istemal hoti hain..

Urdu Translation in English

Urdu zaban ek Indo-Aryan zuban hai, Jisse 100 million se zyada log bolte hain. Jiski wajah se ye mutala ke liye ek aur ahm zuban hai. Yeh zuban India aur Pakistan me zyada tar boli jati hai. Aur United Stats, United Kingdom aur UAE me bohat zyada istemal kiya jata hai. Urdu ko 1837 mein poore shumali india me East Inda company ki hakoomat ki zuban ke tor par muntakhib kiya gaya tha. Jab company ne isse Indo-Islamic ki adalati zuban farsi ki jagha lene ke liye muntakhib kiya tha. Hume urdu translation in english ki bohat si apps aur websites mili hain, Jo aap ko english aur urdu ki translation ya tarjuma ke liye bohat mufeed hain. In apps aur websites ko aap free mein istemal kar sktey hain.

Contents

Top 4 Apps for Translate English to Urdu

1. Google Translate

Google Translate aapke android ya phone mein tarjuma ya translation ke liye ek best app hai. Iss mein website ke jaisi khusoosiyat ke sath mutarif kiya gaya hai. Aur Iss app mein aapko apni zuban ke ilawa 100 se zyada zubano ka tarjuma ya traslation karne ki sahoolat mojood hai. Iss mein aap speach ya audio me bhi search kar sktey hain. Iss ke illawa Google Traslate mein aur bohat sare feature mojood hain, jo apki help kar skte hain.

2. Microsoft Translator

Microsoft Translator app iss waqat 60 zubano me istemal horhi hai. Aur aage chal ke iss me zubano ki tadad barh skti hai. Yeh android aur iOS dono ke sarfeen ke liye mukamal free use ki jaskti hai. Yeh app iss waqat duniya mein bohat zyada istemal horhi hai. Iss app mein aur bhi bohat sare features mojood hai. Jinko app bilkul free use kar skte hain.

3. Hi Translate

Hi Translate app real time tarjuma (Translate) ke liye behtreen app mein se aik hai. Iss mein awaz ki translate, text translate, real time ki translate aur offline translate shamil hai. App ki ek khasiyat yeh bhi hai ke aap apne phone ke camera ke zariye wo picture kheench skte hain, jin ka aap apni pasandeeda zuban me translate karna chahte hain. Iss ke ilawa ye 100 zubano se zyada translate karti hai. Isske aur bhi kai feature hain, jo aapki help kar skte hain.

4. English to Urdu Translator

English to urdu translator Play Store par text translation ke liye ek aur achi app hai. App mein bohat sari khusoosiyat hain. Jiase ke typing text, urdu keyboard aur typing speed test bhi check kar skte ho. Isska behtreen hissa dictionary service hai. Iss app ko aap online aur offline dono halton mein istemal kar skte ho. Iss ke illawa bhi bohat feature mojood hain.

App Download Karne ke Liye Neeche Click Karen

Name of AppAndroid UsersiPhone Users
Google TranslateAndroidiPhone
Hi TranslateAndroidiPhone
Microsoft TranslatorAndroidiPhone
English to Urdu TranslatorAndroidiPhone

Top 5 Websites for Translate English to Urdu

1. Google Translate Website

English to Urdu Translation ke liye Google Translate website ek behtreen option hai. Iss mein 100 se zyada zubano ke translation ki jaskti hai. Yeh ek tez tareen translator website hai. Google Translator website bohat hi aasan he istemal ke liye. Iss mein audio ke zariye writing ki jaskti hai. Yeh 100% free use hoti hai. Yeh translator poori duniya bohat zyada use hota hai.

Website Visit Karen. https://translate.google.com/

2. Typing Baba

Typing Baba english to urdu ya urdu to english translation karne ke liye ek hairat angez website hai. Jisme kuch izzafi khusoosiyat hain. Jiase game, online keyboard, typing tools aur typing tutor. Iss me aap blog, mukhtalif zubano mein typing test aur iss ke illawa aur bhi bohat kuch features mojood hain. Yeh website duniya mein lakhon log istemal kar rahe hain.

Website Visit Karen.  https://www.typingbaba.com/

3. Easy Urdu Typing

English text ka urdu zuban mein translation karne ke liye aasan website hai Easy Urdu Typing. Iss mein Indian ke local zubano mein translation karne ki sahoolat bhi mojood hai. Yeh ek mukamal free website hai. Iss mein aap text ka panjabi, urdu, hindi, telgu, aur gujrati mein translation kar sakte hain. Yeh website khas tor par India mein bohat zyada istemal ki jati hai. Iss website mein ilaqai zubano ki keyboard ki sahoolat bhi mojood hai. Aur iss mein text ke font ke ilawa bhi bohat sare feature mojood hain.

Website Visit Karen. https://www.easynepalityping.com/type-urdu

4 LingvaNex

LingvaNex English to urdu zuban ki translation karne ki ek bohat achi website hai. Jisme ek waqat mein 10,000 alfaaz tak ki gunjaish hai. Jo isse doosron se mukhtalif banati hai. Yeh website istemal ke liye bohat aasan hai. Yeh fast website apne andar dictionary ke ilawa aur bhi bohat se feature deti hai. Aur yeh ek free service website hai.

Website Visit Karen. https://lingvanex.com/

Conclusion

To dosto humari team ne ek research ki jisme mein urdu translation in english ke kuch websites aur kuch apps find kye. Hum ne koshish ki ke aapko ek achi aur helpful information provide karen. Hume umeed hai hamari yeh mehnat zaroor aapke kam ayegi, Hume apni rai se agha karne ke liye comment box mein massage karen aur koi shikayat ho to Contact Us mein likhen.

One Comment

  1. lucky88 July 11, 2024 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *