10 amazing inventions that changed the world in urdu

Aaj hum top 10 inventions in urdu mein batane jarhe hain ke wo kon si inventions thi jis ne duniya ko badal kar rakh daya. To chaliye topic ko start kartay hain.

inventions in urdu
Inventions that changed the world in urdu

Insaanon ne kuch khuwab dekhe aur un khuwabon ko proora karne ke liye kuch amazing aur interesting inventions ki. Agar yeh ijaden na ki gaee hoti to shayed duniya itni tarqi par na pohchti. Inn ijadon ke peeche ki science aur unka kaise wajood mein ana, aaj hum ne top 10 inventions in urdu ki list tayar ki hai.

Contents

The Telephone

Kai inventors ne awaz ko door pohchane ka kam kya. Yeh kam itna asaan nhi tha iss liye kai scientist iss me nakam huwe. Lekin ek insaan tha jo iss me kamyab hokar duniya ko ek taveel tarqi ke janab gamzan kar dya. Aap jante hain wo insaan kon tha aur telephone kisne ijad kiya?

Wo Scotland ke Alexander Graham Bell the jinho ne 7 March 1876 ko electric telephone ke liye patent se nawaza gaya. 3 din baad Bell ne apne assistant, Thomas Watson ko pehli telephone call ki, aur kaha ke Mr. Watson yahan ao, mein apse milna chahta hon.

Telephone ke liye Bell ki tehreeq un ki family se mutasir thi. Iss ke father behron ko bolna sikhane mein mahir the. Aur iss ki mother ek mahir musician thi. Bell ki wife Mabel jise usne 1877 mein shahi ki. 5 saal ki umer se behri thi. Uss ijad ne tezi se aghaz kiya aalmi business mein inqalab barpa kar dya. 2 August, 1922 ko jab Bell ka intaqaal hua to unki tazeem ke liye United States aur Canada mein tamam telephone services ko ek minute ke liye band kar dya gaya.

The Wheel

3500 qabal e maseeh mein wheel ki ijad huwi. Insaan bohut had tak mehdood the ke hum zameen par kitna saman le jaskte hain, aur kitni door. Hartwick College mein anthropology ke professor David Anthony ke mutabik, jab rolling cylinder se ek gair harqat pazeer platform ko jorne ka waqat aya to cheezen mushkil hogaen.

Start mein wheel lakriyon ke banae jate the. Ab to iss mein bohut tarqi ho chuki hai. Ab wee apke samne hain. Pehle se khoobsurat aur mazboot.

The Light Bulb

Light Bulb ki ijad ne qudrati roshani par depend khatam kar ke duniya ko change kar diya. Ab din ho ya raat roshani humare hath mein hai. 1800 ki dahai mein kaee inventors revolutionary technology par kam kar rahe the. Thomas Edison ko primary inventor ke tor par jana jata hai. Kyun ke iss ne 1879 mein ek mukamal tor par functional lighting system banaya. Jiss mein generator aur wiring ke sath sath carbon-filament bulb bhi shamil tha.

Bulb ki ijad ke bad humare kam mein izafa aur humare sone ka waqat km hogaya. Ab kafi companies hain jo rat din kam kar ke duniya mein taraqi mein izafa kar rahi hain.

The Nail

Nail yani keel yeh ijad qadeem roman dor se 2000 saal se zayada purani hai. Aur yeh tab mumkin ho paya jab insaano ne gharon ya jaghaon ko shakal ya design dena shroo kya. Iss pehle lakriyon ko ek doosre se baandh ke ya dhancha bana ke desin kya jata tha. Magar yeh tamirati amal bohut e mushkil tha.

University of Vermont ke mutabik, 1790 aur 1800 ki dahai mein keel lohar loha garam kar ke banate the. Lekin phir yeh technology ahista ahista tarqi karti rahi. Aur 1913 tak America mein 90% keel steel ke ban’ne lage.

The Compass

Qadeem samandari jahazon ne sitaron ko navigation ke liye istemal kiya. Lekin yeh tarika din ke waqat ya cloudy raaton mein kam nhi karta tha. Jis ki wajah se samandar mein zameen se door safar karna khatarnaak ho jata tha.

Pehli compass China mein 2nd qabal e maseeh ke darmiyan “Han dynasty” ke doraan ijad huwi thi. Isse pehli bar 11ween aur 12ween sadi ke darmiyaan Song Dynasty ke doraan navigation ke liye istemal kiya gaya.

Compass ne behri jahazon ko zameen se door tak ba hiffazat land karne ke qabil banaya. Compass ne zameen ke bare mein humare illam aur samajh ko humesha ke liye badal diya hai.

The Internal Combustion Engine

Kai science dano ki engineering ki dahaiyan internal combustion engine ko design karne mein lag gaee. Jisne 19ween sadi ke akhir mein apni bunyadi tor par jadeed shakal akhtiyar ki. Engine ne sanati dor ka aghaz kiya aur sath e jadeed caron aur jahazon samet machinon ki ek bohut bari kisam ki ijad ko qabil banaya.

Also Read: Top 10 Sabse Khatarnak Machhali Kaun Si Hai

The Internet

Internet kya hai aur internet kis ne ijad kia? yeh sawal bohut se logon ko nhi pata to hum apko insawalon ke jawab dene jarhe hain. Aur yeh humari inventions in urdu ki list mein sab se zyada maqbool hai. Internet ek doosre se jurhe computer network ka ek aalmi nizam hai. Jise duniya bhar mein arbon log istemal karte hain. 1960 ki dehai mein, Defense Department’s ARPA (Advanced Research Projects Agency) ke liye kam karne wale computer scientist ki ek team ne Agency mein computer ko jorhne ke liye ek communications network banaya. Jisse ARPANET kaha jata hai, Jise aap internet ka purana version bhi keh skte ho. Iss mein data transmission ka ek tarika istemal kiya gaya jisse packet switching kaha jata hai. Ise computer scientist aur team ke member Lawrence Roberts ne tayar kiya tha.

Iss technology ko 1970 ki dehai mein scientists Robert Kahn aur Vinton Cerf ne tayar kiya. Jinho ne internet ke liye ehem communication protocols, Transmission Control Protocol (TCP) aur Internet Protocol (IP) tayar kiye.

1989 mein CERN (The European Organization for Nuclear Research) mein kam karte huwe computer scientist Tim Berners-Lee ki taraf se World Wide Web ki ijad ki badolat internet ne mazeed taraqi ki. WWW ka bunyadi khayal computer, data networks aur hypertext ki ubharti huwi technology ko ek taqatwar aur istemal mein asaan global information system mein merge karna tha. WWW ki taraqi ne internet ki duniya ko har ek ke liye khol diya. Aur duniya ko iss tarah jorh diya jo pehle nhi tha.

The printing press

Printing press ne duniya ko bilkul tabdeel kar ke rakh diya. Apko pata hai ke printing press machine kis ne ijad ki?. Agar nhi pata to hum apko bata den ke printing press German inventor Johannes Gutenberg ne 1440 aur 1450 ki dehai ke damiyan printing press ijad ki.

Penicillin

Yeh tareekh ki sabh se barhi daryaft kahaniyon mein se ek hai. 1928 mein Scottish scientist Alexander Fleming ne apni laboratory mein bacteria se bhari Petri dish ko dekha. Jiska Dhakan hadsati tor par ujar chuka tha. Chemists ne usse saaf kiya aur dawai Penicillium tayar ki. Jo insaano ko khud nuksaan pohnchai bagair insaano mein bari tadad mein bacterial infections se larti hai.

Contraceptive

Pehle ke zamane mein aurten bohut zyada bache paida karti thi. Agar wo kisi se bhi melap karti thi to bacha hone ke chance hote the. Aur kafi zindigyan bhi iss chakar mein barbad huwein. Lekin Contraceptive ne duniya mein bohat barhi changing kar di. Ab aap melab ke doran condom ya aur bhi goliyan hai wo istemal kar sakte ho, jinse olad ko roka jaskta hai. Iske ane se family planning asaan ho gaee hai. Yaad rahe yeh goliyan khane se pehle doctors se zaroor mashwara karen. Kyun ke iss ke side affect bhi hote hain.

Also Read: Self Obsessed Meaning in Urdu

Conclusion:

Humare topic amazing inventions in urdu mein hum ne ek list tayar ki hai. Jisme hum ne dekha ke duniya tezi se taraqi kaise ki. Agar humari yeh post apko achi lagi to comments section mein zaroor batayen.

30 Comments

  1. hot shot bald cop March 28, 2022 Reply
  2. hot shot bald cop April 12, 2022 Reply
  3. hotshot bald cop April 13, 2022 Reply
  4. hotshot bald cop May 19, 2022 Reply
  5. www.xmc.pl May 29, 2022 Reply
  6. Ahtisham Nadeem July 20, 2022 Reply
  7. Mark September 5, 2022 Reply
  8. zoritoler imol September 24, 2022 Reply
  9. curry shoes December 20, 2022 Reply
  10. brochure design services December 29, 2022 Reply
  11. air jordan December 29, 2022 Reply
  12. golden goose sneakers January 1, 2023 Reply
  13. Kzqazrdplase March 30, 2023 Reply
  14. off white June 24, 2023 Reply
  15. golden goose July 2, 2023 Reply
  16. golden goose dad star August 13, 2023 Reply
  17. golden goose August 15, 2023 Reply
  18. off white shoes August 17, 2023 Reply
  19. giannis shoes August 18, 2023 Reply
  20. golden goose glitter August 18, 2023 Reply
  21. bape hoodie August 20, 2023 Reply
  22. TimothygaIgh September 8, 2023 Reply
  23. TimothygaIgh September 15, 2023 Reply
  24. TimothygaIgh September 28, 2023 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *