Top 10 Sabse Khatarnak Machhali Kaun Si Hai

Duniya mein sabse khatarnak machhali kaun si hai? Iss post mein hum batayenge ke duniya mein top 10 khatarnak machhliyon ke naam aur detail. To chaliye topic start karte hain.

Sabse Khatarnak Machhali Kaun Si Hai
sabse khatarnak machhali kaun si hai

Abtak insaan samandar ka sirf thora hissa e janta hai. Iss mein kaaf khatarnak aur faidemand cheezen pai jati hain. Kafi log yeh samjhte hain ke machhliyon mein sirf shark e ek khatarnak machhali hai. Par yeh galat hai. Shark ke ilawa bhi bohut si machhliyan samandar aur daryaon mein pai jati hain jo insaan ke liye bohut khatarnak hain. Koi machhali zehreeli to koi kanton se bhari huwi, kisi ke dant teekhe to kisi mein bijli se tez current. Hum aisi top 10 machhaliyon ke bare mein batane jarhe hain, jo insaan ke liye kaafi khatarnak sabit hoti hain.

Piranha fish

Contents

1- Piranha (South America ki sabse khatarnak machhali)

Humari top 10 ki list mein 1st number pe hai Piranha machhali. Yeh khofnak aur khatarnak machhali jiska taluk South America se hai. Apne tez danton aur khatarnak jabron ki wajha se mashhoor hai. Iss waqat Piranha ke 30 se 40 kisam hain. Iss ki lambai takriban 25 centimeters hai. Yeh taza pani mein rehti hai. Khaas tor par South America ke daryaon mein jaisa ke Amazon, Ecuador, Bolivia, The Orinoco, Venezuela aur Colombia. 300 Piranha mil ke 5 minute mein taqriban 80 kilo wazani insaan ko kha sakti hain.

Goliath tigerfish

2- Goliath tigerfish (Afrika ki sabse khatarnak machhali)

Goliath tigerfish, Iske naam se e zahir hota hai, ke yeh kitni zabardast aur khatarnak machhali hai. Yeh tigerfish ka sab se bara rukan hai. Iska jabra magar machh se milta julta hai. Goliath ka wazan taqriban 75 kilo tak pohch sakta hai. Iska taluk Congo darya se hai, magar yeh Afrika ke kafi daryaon jaise Lualaba aur Zambezi mein bhi pai jati hai. Goliath tigerfish gehre pani mein rehti hai, isliye isse talash karna mushkil hota hai. Yeh humare top 10 ki list mein 2nd number pe ati hai.

Barracuda fish

3- Barracuda

Barracuda gehre samandar mein gosht khor machhaliyon ki nasal se taluk rakhti hai. In machhaliyon ke sabse bari khasiyat yeh hai, ke yeh apne shikar par tezi se hamla karti hain. Kyun ke yeh dum hila kar 0 se 90 kilometer fee ghante ki raftar se chal sakti hain. Inki lambai 45 cm hai, aur wo tropical samander mein pai jati hai. Khaas tor par Caribbean samandar mein. Humari list mein yeh 3re number par hai.

Anglerfish fish

4- Anglerfish

Anglerfish ek khatarnak to hai, magar bad soorat bhi bohut zyada hai. Yeh gehre pani mein rehte hain. Khaas tor par, Atlantic aur Antarctic samandaron ki gehrai mein. Iski khaas bat inka shikar karne ka tarika hai. Iske sar par gosht ki nashonuma hoti hai, jo lalach ka kam karti hai. Jise yeh roshan jal se shikar ko apni taraf mutwajo karti hai. Jiase iska shikar iske qareeb ata hai yeh usse kha jati hai. Yeh choti zaroor hai lekin khud se bari cheezon ko bhi kha jati hai. Iske number humari list mein 4 hai.

Stonefish

5- Stonefish (Duniya ki sabse zehreeli machhali)

Stonefish humari top 10 ki list mein 5wen number par hai. Yeh pathar jaise dikhti hai. Yeh duniya ki sabse zehreeli bhi hai. Iske ooper agar pair agya to iska zehar uss insaan mein jaskta hai. Kyun ke iska zehar iske pankhon ki reerh ki hadi mein hota hai. Yeh Pacific aur Indian Ocean mein pai jati hai.

Viperfish

6- Viperfish

Viperfish aam tor par 2000 meter tak gehrai mein rehti hai. Jab sooraj ki roshani samandar ki teh tak jati hai, to yeh apna shikar karne ke liye bioluminescent ka istemal karti hai. Yeh ek khatarnak machhali hai. Iska jabron ka nichla hissa dandon se mala mal hai. Scientists ka man’na hai ke yeh iss waqat samandaron ke ek chothai hisson me qabiz hai. Humari list mein iska number 6 hai.

Blowfish

7- Blowfish

Blowfish ke paas shikar ke diffa ke liye phoolne ki salahiyat hai. Isliye yeh bohut e sust terti hai. Isse rozana bohut sara khana khane ki zaroorat hoti hai. Isse aam tor par tropical aur subtropical ke pani mein paya jata hai. Blowfish ke jism mein kante bhi hote hain. In kanton mein cyanide se 1200 gunha zyada zehar hota hai. Jo 30 insaano ko marne ki salahiyat rakhta hai. Isliye humari list mein iska number 7wan hai.

Spotfin lionfish

8- Spotfin lionfish (Australia ki sabse khatarnak machhali)

Yeh khaas tor par gota khoron ke liye bohut khatarnak hoti hai. Lionfish tropical Indian and Western Pacific Oceans mein paye jate hain. Khaas tor par chattano mein din ko chupa rehta hai aur raat ko shikar karta hai. Yeh 40 centimeters tak pohch jata hai, aur iska wazan 1200 gram tak hota hai. Spotfin lionfish humari top list mein 8wen number par isliye hai, ke iske zehreele maade ke sath zehar ka gudood hota hai. Agar wo zehar insaan mein jata hai, to usse insaan marta nhi magar takleef bohut zyada hoti hai.

Gulper Eel

9- Gulper Eel

Gulper Eel insaan ke liye itni khatarnak to nhi hai. Magar yeh dikhne mein bohut e khoofnak hai. Isske mazboot jabre iske shikar karne ki taqat ko barhate hain. Humari top list mein iska number 9 pe hai.

Fangtooth

10- Fangtooth

Iss machhali ko Ogrefish bhi kaha jata hai. Fangtooth mukamal tor par khatarnak machhali nhi hai. Yeh sirf iska dikhna khatarnak aur khofnak hai. Iske daant bohut e lambe aur tez hote hain. Jinki lambai taqreeban 17 centimeter hoti hai. Isse Australia mein paya jata hai. Iske top list mein 10 number hai.

Conclusion:

Hume umeed hai ke humari iss post ne apke ke knowledge mein izafa kiya hoga. Apko kya lagta hai ke inn top 10 ki list mein sabse khatarnak machhali kaun si hai? Hume comments section mein zaroor batayen. Agar koi shikayat hot to hume Contact kar sakte hain.

3 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *