Duniya ke 10 sabse khatarnak kutte

Duniya ke 10 sabse khatarnak kutte kaun se hain, aur unke name kya hain. Iss post mein 10 khatarnak kutton ke bare mein janege. let’s start this topic !

Duniya ke 10 sabse khatarnak kutte

Agar dekha jaye to kutte insaan ke wafadar dost ke tor par jane jate hain. Lekin asal mein to wo jangli shikari hain. Yeh bohut zaheen hote hain, aur shikar mein bhi ache hote hain. Yeh paltu janwar zaroor hain, lekin kafi dafa malik par hamla bhi kar chuke hain. Khaas tor par kuch nasal wale kutte jinka zikar mein ne neeche kiya hai.

Contents

Humari Duniya ke 10 sabse khatarnak kutte kaun se hain?

Hum ne 10 sabse khatarnak aur khofnak kutton ki list banai hai. Humari list mein 1 number par Caucasian Shepherd, 2nd Pitbull, 3rd Perro De Presa Canario, 4th Rottweiler, 5th Fila Brasileiro, 6th Midacet Sula Shephard, 7th Wolfdog, 8th Bullmastiff, 9th Huskies aur 10th par Doberman Pinschers hai. Neeche inke bare mein mazeed janiye.

Caucasian Shepherd

Caucasian Shepherd

Yeh kutta asal mein Russia se ata hai. Iska wazan 100 kg ( 220lb) se zyada ho sakta hai. Yeh larne mein bohut acha hota hai. Koi tajub ki baat nhi hai, ke yeh nasal itni khatarnak kyun hai. Iss kutte se km se km 100 meter door rehne ki hidayat ki jati hai. Iss liye yeh hamari top 10 ki list mein number 1 par hai.

Pitbull

Pitbull

Iss kutte par kaaf mulkon mein pabandi hai. Aur yeh ek khatarnak kutte ke tor par kaafi shohrat rakhta hai. Inka ravaya kafi jarhana hota hai. Agar isse traning nhi di gayee hai to yeh katal karne wali machine hota hai. Inko malik kutton ki larai ke khel mein istemal karte hain, jahan kutton par paise laga kar unhe apas mein laraya jata hai. Humari list mein iska number 2ra hai.

Perro De Presa Canario

Perro De Presa Canario

Iss kutte ko Canary Islands mein kai nasalon ko mila kar banaya gaya tha. Lekin iska koi saboot mojood nhi hai. Magar iske shikar karne, iski phurti aur chalaki ke liye hum ne inko apni list mein 3ra number diya hai. Iske khatarnak ravaye ko dekh kar iss par kaafi mulkon mein pabandi hai. Iss kutte ko palna bohat khatarnak hai, kyun ke yeh insaan se zyada taawun nhi karta.

Rottweiler

Rottweiler

Agar kutte ki koi nasal hai, jo bohut se mauton ka sabab hai to wo nasal yeh hai. Reports mein yeh waze kiya gaya hai, ke America mein kutton se honi wali taqreeban adkhe se zyada mauten ka zamewar yeh kutta hai. Iske mazboot dant aur lambi chhalang isko insaan ka gala katne mein madad karte hai. Isliye humari list mein isko 4tha number diya gaya hai.

Fila Brasileiro

Fila Brasileiro

Agar aap jarhana kutte pasand nhi karte to iss nasal ke kutte kabhi na len. Yeh Brazilian kutta hai, jisse aam tor par junglon mein soor ka shikar karne ke liye istemal kiya jata hai. Yeh bekaboo aur jarhana rawaya rakhne wala kutta hai. Iss liye yeh humari duniya ke 10 sabse khatarnak kutte ki list mein 5wen number par ata hai.

Midacet Sula Shephard

Midacet Sula Shephard

Yeh kutta dikhne mein e bohut khatarnak aur khofnak lagta hai. Kaha jata hai ke isse bohut si khatarnak nason se banaya gaya hai. Iss par kai mulkon mein pabandi lagi hai. Uss ki waja yeh hai ke kafi khandano ne jaan lewa hamlon ki italaat di hai. Humari list mein yeh 6 number par hai.

Wolfdog

Wolfdog

Yeh kutta german shepherd aur pahari bherye ke darmiyan ek hybrid hai. Yeh dikhne mein khoobsurat aur bohut e khatarnak hote hain. Iss liye inn par Norway jaise mulkon mein pabandi lagi huwi hai. Humari list mein isko 7wan number diya gaya hai.

Bullmastiff

Apne bachon ko iss kutte se door rakhen. 2014 mein ek baag mein khelne wale 2 nojawano par hamla kar diya. Aur un mein se ek larke ko mar diya. Aur phir apne malik par hamla karne laga. Wese to yeh malik ke bohut e wafadar bhi bataye jate hain. Iss kutte ko humari list mein 8wen number par rakha gaya hai.

Huskies

Inki khoobsurat aankhon ki waja se yeh duniya mein bohut zyada mashhoor hain. Yeh kisi cheez ko kheenchne aur kaafi door tak bhagne ke liye bhi bohut famous hain. Iss kutte ke bhi kaafi qisse milte hain ke iss ne apne malik par hamla kiya aur mar dala. Iss liye khatarna kutton ki list mein isse 9wen number par rakha gaya hai.

Doberman Pinschers

Yeh bohut e mazboot aur zaheen kutta hai. Iski wafadari bhi bohut zyada mani jati hai. Yahan tak ke yeh police mein criminals ka shikar karne ke liye bhi istemal hote hain. Lekin agar isse training nhi di gayee to yeh kabhi bhi kisi bhi shaks par hamla kar sakta hai. Doberman Pinschers insaan ko marne ki poori salahiyat rakhta hai. Yeh hamari list mein 10wen number par ata hai.

Also Read: Top 10 Sabse Khatarnak Machhali Kaun Si Hai

Umeed hai ke humari top 10 kutte pasand ayee hogi. Aur apke knowledge mein kuch nayee cheezen add huwee hongi. Hume apni rai se agha karen aur comment section mein batana na bhoolen.

One Comment

  1. zoritoler imol December 16, 2022 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *