Eid ul Fitr ki ahmiyat in urdu

Iss post mein hum Eid ul Fitr ki ahmiyat ko jaanege aur apko batayege ke iss Eid ka matlab, tareekh, aur history wo bhi urdu mein. Iss post mein apko milege Eid ul fitr ke wallpaper, photo, pictures. Aur Eid ul fitr ke bare mein aur bhi bohut kuch batane jarhe hain.

Eid ul fitr ki ahmiyat

Contents

History of Eid ul Fitr in urdu

Eid ul Fitr ka aghaaz Islami Peghambar Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne kiya tha. Baaz rawayat ke mutabik inn tehwaron ki shuruwat Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke Mecca se hijrat ke bad Medina mein huwee. Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke mashhoor sathi Hazrat Anas ne bayan kiya hai, ke jab Peghambar medina pohche to uss ne logon ko do makhsoos din manate paya. Iss par Peghambar ne kaha ke Allah ne tehwar ke 2 din muqarar kiye hain, Eid al-Fitr aur Eid al-Adha.

Eid ul Fitr ki ahmiyat Urdu mein

Ek poora maheena namaz, roza, ibadat aur khud par kaboo rakhne ke baad ek khushi manai jati hai. Jisse muslim Eid ul Fitr kehte hain. Eid ul Fitr ki taqreebat 3 din tak chalti rehti hain. Eid ul Fitr ke pehle din subha sabh musliman namaz ke bad gale milte hain aur ek doosre ko mubarkbad pesh karte hain.

Musliman apne family ke sath yeh tehwar manate hain. Bachon ko tohfe aur paise dete hain. Jisse Eidi kehte hain. Iss Eid mein lazeez khane pakai aur khai jate hain. Eid ul Fitr pe musliman gareebon ko zakat dete hain. Iska matalb hota hai paise. Jaise har shaks ache se Eid mana sake.

Eid ul Fitr kab manaya jata hai

Islami maheena Ramadan ke 30 ruze rakhne ke baad agle maheene yani Shawwal ki pehli “1” takeekh ko Islam ki pehli bari Eid jisse Eid ul Fitr kaha jata hai, manai jati hai. Eid ki shurwat subha Eid namaz se ki jati hai, aur Eid ul Fitr ka khutba parha aur suna jata hai. Yeh muslmano ka bohut bara tehwar hai. Jisse poori duniya ke muslim mulk bare shaan se manate hai.

Eid ul Fitr ki Sunnatain

Yeh muslimano ka bohut bara tehwar hai. Jisse poori duniya ke musliman bohut e aqeedat se manate hain. Eid ul fitr ke kuch suannatain hain, jin par amal karna bohut zaroori hota hai. Wo sunnatain neeche bata rahe hain.

  • Shariat ki hudood mein rehte huwe apni araaish karna
  • Ghusal karna
  • Miswak karna
  • Apne kapron me se umda libaas pehnna
  • Khushboo lagana
  • Subha sawere uthna
  • Eidgah jaldi se jaldi pohnchna
  • Eidgah jaane se pehle koi meethi cheez (khujoor) waghera khana
  • Eidgaah jaane se pehle fitra ada karna
  • Eid ki namaz eidgah mein hi ada karna
  • Eidgah aane or jaane ke liye rasta tabdeel karna
  • Agar ziyada door na ho to pedal jaana
  • Namaz e eid ke liye jate huwe neeche wali takbeer parhna:

ALLAH O AKBAR ALLAH O AKBAR
LA ILAHA ILLALLAH
WALLAH O AKBAR
ALLAHO AKBAR
WA LILLAHIL HAMD

Eid ul Fitr ki Namaz ka tarika

Eid ki Namaz ka tareeqa yeh hai ke dil mein yeh niyat karen ke main 6 takbeero ke saath Eid ki 2 rakaat waajib Namaz padhta hon. Ya phir jo paish imam niyat parhe usse din mein dohrana.

  • Niyat ke alfaz zaban se kehna zaruri nahi, Dil mein iraada kar Lena kaafi hai.
  • Niyat karke haath baandh le aur sanna ” Subhan kallahumma ….” Aakhir tak padh kar 3 martaba ” Allahu Akbar ” Kah, har martaba takbeer tehrima ki tarah dono haath kaano tak uthaye, aur takbeer ke baad haath latka den ( chhor de ).
  • Imaam do takbeero ke darmiyan itni der tak thehre jisme 3 martaba ” Subhanallah ” kaha ja sake,
  • Teesri takbeer ke baad haath baandh le, aur imaam ” A’uzubillah …” aur ” Bismillah …” padh kar ” Surah Fatiha ” aur koi Soorat padh kar ruku ya Sajda karke khada ho,
  • Doosri rakaat mein Surah Fatiha, soorat padh le, Uske baad 3 takbeere is tarah kahe k har martaba haath kaano tak uthaye aur chothi takbeer mein haath na uthaye takbeer kehte hue seedha ruku mein chala jaye, Sajda vagera Namaz ko aakhir tak mukammal karke salaam fer den,
  • Namaz ke baad khutba padhe, ( Muqtadi khoob dhyan se sune ),

Eid ul Fitr 2022 kab hai

Agar dekha jaye to Eid islami tareekh ke mutabik manai jati hai. Aur chand kab nikle yeh to insaan ko nhi pata. Lekin andaza yeh hai ke Eid ul Fitr 2022 4,5,6 may ko hogi.

Eid ul Fitr Wallpapers, Photos and Pictures Gallery

Eid mulimano ke liye bohut e khoobsurat mazhabi taqreeb hai. Hum ne Eid ul Fitr ke khoobsurat moqe par apne nazreen ke liye Eid ul fitr 2022 ke hd wallpapers tayar kiye hain. Jinhe aap apne doston aur rishtedaron ko Facebook, WhatsApp, Instagram ya kaise bhi wish karne ke liye free mein istemal kar sakte hain.

Hume umeed hai yeh post apko pasand ayee hogi. Hume comments section mein apne rai se zroor agha karen. thank you

Also Read: Ramzan ki Fazilat in Urdu [Top 10]

One Comment

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *