Ramzan ki Fazilat in Urdu

Ramzan ki Fazilat in Urdu mein hum apko 10 behtreen ramzan ki fazilat batayenge. Jin par amal kar ke apni zindagi mein tabdili la sakte hain.

Ramzan ki Fazilat in Urdu

Contents

Ramzan ki Fazilat in Urdu

Ramzan al-Mubarak ko darjano fazilaton se nawaza gaya hai. Hum un mein se jinta zyada jante hain ba hasiyat musliman, yeh utna e behtr hai. Iss article mein un darjano fazilato mein se 10 ki list di jati hai. Yeh 10 fazilaten aisi buniyadi baten hain jinke bare mein har musliman ko bata hona lazmi hai.

#1: Mahe Ramzan ke roze Islam ka pehla rukan hai

Ramzan al-Mubarak mein sab se ahm yeh hai, ke iss maheene ke roze Islam ki 5 sunnaton mein se 4the rukan hai. Hadeeson mein farmaya gaya hai: Islam ki bunyad 5 sunnaton par hai, Gawahi dena ke Allah ke siwa koi maaboot nhi, aur Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam Allah ke rasool hain. Namaz qaim karna, Zakawat ada karna, Ramzan ke roze aur khana kaaba ka haj karna.

Ramzan ke roze har balig musliman par farz hain. Aur Ramzan Allah ki wahadat ka ki gawahi ka wazan rakhta hai. Iss mein rozana ki farz namazon ke sath sath sakawat ki adaigi aur haj par jane ka wazan bhi hai. Lehaza Ramzan ko na man’na Islam ke raste se bhatakna mana jata hai.

#2: Quran sabse pehle Asmaan par Ramzan mein otara gaya

Ramzan al-Mubarak ki fazilat mein se iss maheene Quran ka naazal hona bhi hai. Yeh Laylatul Qadr ki raat mein huwa tha. Jab poora Quran al-Lawḥ al-Maḥuẓ (mehfooz takhti) se pehle Bayt al-izzah par otara gaya. Iss ke baad yeh 23 saal ke arse mein marhala war Rasool Allah Salla Allahu Alayhi Wasallam par nazal huwa. Surah al-Baqarah mein Allah Pak farmate hain, jiska urdu mein tarjuma kiya gaya hai:

Raman ka maheena, jisme Quran nazal kiya gaya. Jo ke insano ke liye hidayat aur haq o batil ke darmyan faraq karne wali waze dalilen hain.

Surah al-Qadr mein bhi bataya gaya hai, Beshak hum ne Quran ko shab e qadr mein naazal kiya hai.

#3: Laylat al-Qadr har saal ek bar dohraai jati hai, Raman mein

Raman ka maheene mein Quran naazal huwa. Jiss raat huwa uss raat ko Laylat al-Qadr kaha jata hai. Yeh har saal raman ke akhe ashre mein ati hai. Iss raat Yeh raat humare liye namat hai. Jis mein Allah ki taraf se hum par rehmaten barasti hain.

Surat al-Qadr mein Allah Pak Laylatul-Qadr ki fazilat mein farmate hain: Beshaq hum ne Quran ko shab e Qadr mein naazal kiya hai. Aur tumhe kya maloom ke shab e Qadar hai kya? Shab e Qadr hazar maheeno se behtr hai. Iss mein farishte aur roh Allah ke hukam se tamam ahkam ke sath utarte hain. (Iss saari raat) Tullooe fajar tak salamati (aur iske bandon ke liye) khair hai.

Iska matlab hai ke iss raat mein Allah ki ibadat karna hazar maheeno ki ibadat se behtr hai.

#4: Ramzan ka roza emandari se rakhna apke pichle gunahon ko mita deta hai.

Raman al-Mubarak ki ek ehm tareen fazilat yeh hai ke Allah ke liye emaandari se roze rakhne se humare gunnah mit jate hain. Imam al-Bukhari aur Muslim hadees mein zikar hai:

Jisne imaan ke sath aur sawab ki neeyat se Ramzan ke roze rakhe, uske pichhle gunnah maaf kar diye jayenge.

#5: Raman mein Qiyam karne se apke pichhle gunnah bhi mit jate hain

Qiyam isha aur fajr ki namaz ke darmiyan parhi jane wali koi bhi fazilat wali raat ki namaz hai. Iss mein tarawih, tahajjud aur witr shamil hain. Imam al-Bukhari aur Muslim hadees ke mutabik Hazarat Muhammad Salla Allahu Alayhi Wasallam ne farmaya:

“Jisne Ramzan ki raaten eman ke sath aur sawab ki niyat se guzarien, uss ke pichle gunah buksh diye jayenge.”

Tarawih wo sunnat nimaz hai jo hum ramzan ke maheen mein isha ke baad foran parhte hain. Tahajjud wo sunnat nimaz hai, jo aap need se bedaar hone ke baad parhte hain. Witr aam tor par sunnat nimaz hai jo hamari raat ki namazon par mohr lagane ke liye 3 rakat barhi jati hain. Yani tarawih ramzan mein ada ki jati hai. Tahajjud saal bhar ada ki jaskti hai. Aur Tarawih ho ya Tahajjud hume isse khatam karne ke liye witr parhna chahiye.

#6: Ramzan mein Jannat ke darwaze khule hain aur Dozakh ke darwaze band hai

Ramzan al-Mubarak ki fazilat mein se ek yeh bhi hai ke sirf ramzan ke maheene mein Jannat ke darwaze khule aur dozakh ke darwaze sakhti se band kiye jate hain. Imam al-Bukhari aur Muslim hadees ke mutabik Hazarat Muhammad Salla Allahu Alayhi Wasallam ne farmaya hai:

“Jab Ramzan ata hai to Jannat ke darwaze khol diye jate hain, Dozakh ke darwaze band kar diye jate hain. aur shaitan ko jakar diya jata hai.”

Jannat ke darwaze bare paimane par khule jate hain aur dozakhat ke darwaze sakhti se band kiye jate hain. Taake hume Jannat tak asaani se rasaai ho sake. Kya hume yeh mauqa chorna chahye? hargiz nhi.

#7: Ramzan mein shaitan ko jakar diya jata hai

Jaise ke oopar hadees mein bataya hai, ke shaitan ramzan mein jakr diye jate hai. Jiss lamhe yeh elaan kiya jata hai, ke Raman agya hai. Yaqeenan shaitan ko zanjeeron mein jakar diya jata hai.

To lehaza Raman ke sab roze rakhen, Namaz pabandi se parhen, aur har buri cheez se parhez karen.

#8: Ramzan ke roz pichle ramzan ke bad ke gunnahon ko mita dete hai

Yeh bhi Ramzan ki ek fazilat hai ke do Raman ke beech jo sageera gunnah hote hain. Wo ramzan ke roze rakhne se maaf kar diye jate hain. Imam Muslim ki ek hadees ke mutabik Hazarat Muhammad Salla Allahu Alayhi Wasallam ne farmaya:

“Ek jumma se 2re mumma tak, aur ek Raman se 2re Ramzan tak 5chhon namazen darmiyan ke gunnahon ka kafara hain. Jab tak ke kabeera gunnahon se parhez kiya jaye.”

#9: Ramzan ke baad Shawwal ke 6 roze rakhen

Ramzan ki fazilat mein se ek yeh bhi hai ke saal bhar ke roze ya umar bhar ke roze rakhen ka sawab bhi milta hai. Agar aap Ramzan ke roze rakhne ke baad shawwal ke maheene mein 6 roze rakhten. Imam Muslim ki ek hadees ke mutabik Hazarat Muhammad Salla Allahu Alayhi Wasallam ne farmaya:

“Jisne Ramzan ke roze rakhe phir uske baad shawwal ke 6 roze rakhe, to phir yeh umar bhar ke roze rakhne ke barabar hai”

#10: Raman al-Mubarak mein Umrah karna Hajj ke barabar hai

Ramzan ki sabh se bari fazilat yeh hai, ke Raman shareef mein Umrah karne par Hazarat Muhammad Salla Allahu Alayhi Wasallam ki sohbat mein Hajj karne ka sawab milta hai. Imam al-Bukhari aur Muslim hadees ke mutabik Hazarat Muhammad Salla Allahu Alayhi Wasallam ne farmaya:

“Ramzan mein Umrah mere sath Hajj ke barabar hai”

Also Read: Top 50 Hadees about Ramadan in urdu

Conclusion

Iss article mein paish ki gayi urdu mein Ramzan ki fazilat par gor karne se yeh ahsaas hota hai. Ke Allah Pak ne hume jannat ki bohut si asaaniyan atta kar ke hum par bohut mehrbaniyan ki hai.

Iss article mein Ramzan ki 10 fazilaton par behs ki gayee hai. Jo Raman ke darjano fazilaton mein se muntakhib ki gayee hai. Mere man’na hai ke ramzan ki sabh fazilaten har musliman jane. Lekin yeh 10 mere hissab se zaroori hain. Apko humara yeh article “Ramzan ki Fazilat in Urdu” kaisa laga hume comment section mein zaroor agha karen.

3 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *