Meraj Raat Kya Hai? Shab E Meraj Ki Haqeeqat

Meraj ka lafz duniya mein itna maqbool kyon hai aur meraj raat ki fazeelat kiya hai. Ao jante hain neeche ke Meraj Raat Kya Hai?.

meraj ki raat
Meraj Raat Kya Hai

Lafz meraj ki maana hai urooj ya bulandi. Ye safar Hazarat Muhamammad (p.b.u.h) ne 7 aasman (Seven Sky) tak kia tha. Ye safar asal men BURAQ jaanwar pe huwa tha jis ki riftaatr sooraj ki roshni se bhi zyada tez thi.

Kisi sahabi ne Hazrat Muhammad (P.B.U.H) se poocha ke buraq ki riftaar kitni ho sakti hai. Aap ne farmaya jis had tak uski nigah jaa sakti thi utni hi tez buraq ki riftaar thi.

Quran Sharif mein iske ooper ek soorat bhi waqe hai jiska naam ( Mairaj Soorah) hai. Quran Pak men ek alfaz hai ISRAA matlab jismani tarz pe safar karna. Aaj tak Science hairan hai ke ham inte technical hone ke bawajood aj tak aese koi machine ( Instruments) nahin bana sake jis ki riftaar itni tez ho.

Ye safar Madina se Masjid Aqsa tak huwa aur phir Masjid Aqsa se lekar 7 aasman tak ka safar phir us hi raat sidratul –muntaha tak safar kia.

Quraan Pak Mein Irshad:

Quraan Pak men irshad hai soorat bani israiel ki pahli aayat ke
“ wo zaat pak hai jisne ek hi raat apne Nabi ko masjid haram matlab khaana ka’aiba se lekar masjid Aqsa (Baitul Muqdas ) tak ka safar karwaya taa ke Wo apne Nabi ko apne banayi huwi dunia ka ser o safar karwa ke usko dunia dikha sake. Beshak wo dekhne aur sun’ne wala hai”

Duniya men khayal hai ke sab se tez raftaar sooraj ki roshni hai jiski speed 3 laakh kilo meter per second hai is se bhi zyada speed BURAQ kit hi.

Ye safar aj se 1440 saal pahle huwa tha. Dunia men chand mazhabi aalmon ka bhi kahna hai ke us din Nabi Pak se sath Jibral (A.S) saath the. Aur raasta saaf karwane men Jibrael A.S ne karwaya tha taa k eek rat men hi mairaj mukamal ho sake. Mairaaj ka matlab hai seerhi ya takht jis kee ooper seerhian ho jis pe ooper charha ja sake.

Aam insan agar 54 arab noori saal se safar kare phir bhi aesa nahin kar sakta. Space Satelite se aj tak America aur Russia ne bohat dafa aesa tajarba kar chuke hain par Khuda ka moajza in sab se alag dikhta hai.

Barq wahid lafz hai jis ko single mein likhenge aur buraaq likhe to matlab jama ya zyada. Insaani jism agar zameen se ooper jana shuru karta hai to uska wazan 0 ho jata hai aur lekin is safar men bhi

Also Read: Jumma Mubarak in Urdu [All Important Information]

One Comment

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *