Top 50 Hadees about Ramadan in urdu

Top 50 Hadees about Ramadan in urdu ke topic mein hum apko batane wale hain 50 bohut e khaas aur sachi hadees. To iss post ko poora parhen aur in hadeeson par amal kar ke ramdan mein nekiyan kamaye.

Hadees about Ramadan in urdu
Hadees about Ramadan in urdu

Contents

Taruf (Introduction)

Neeche Ramadan ke mutalik 50 hadees bayan ki gayee hain. In hadees mein mahe Ramadan ki fazilat bayan ki gayee hai. Ramadan muslimano ke liye Allah ki taraf se ek bohut bara tohfa hai. Iss mah mubarak mein shaitan ko jakra jata hai, Jannat ke darwaze khole jate hain, aur dozakh ke darwaze band kiye jate hain. Ramadan ka naam sunte e chand baten zehen mein ati hain. Jaise roza, zakawat, tarawih, ibadat, aadab, itikaf etc. Wese to bohut si hadeesen mojood hain lekin hum ne yeh list Al-Bukhari aur Muslim hadeeson se muntakhib ki hai. Hume umeed hai yeh topic “Hadees about Ramadan in urdu” har ek ke liye madad kar sabit honga.

#1: Roze ki Fazilat aur Ahmiyat in Urdu

1- Hazrat Abu Huraira (P.B.U.H) bayan karte hain Hazrat Muhammad S.A.A.W farmate hain “ Har achhe aimal ke sawab 10 se 700 tak barh jate hain iss maah mein. Allah Pak ne Irshad kiya ke roza rakhna samjho meri ibadat karna hai. Aur iska ajar mein khud deta hon. Qyu ke rozedar mere liye khana peena chorta hai. Aur parhezgari akhtiar karta hai, wo bhi fakat mere liye. Rozedar ke liye 2 khushiyon ke moqe hote hain, Ek roza rakhne ke waqt aur doosra mujhse milne ke waqt. Rozedar ke jism mein ambar ki Khushboo hoti hai ( Hadith Bukhari).

2- Hazrat Sahl bin saad (R.A.T.A) farmate hain ke Hazrat Muhammad (S.A.A.W) ne Irshad farmaya ke “ Jannat men ek darwaza hai jise Al-Riyan kahte hain. Us darwaze se fakat rozedar hi dakhil ho sakenge aur koi nahin. Qayamat ke din jab wo darwaza khola jayega to awaaz ayegi ke ae rozedaro! Kahan ho? Ao apko Jannat pukar rahi hain. Rozedar uth ke khare ho jayenge aur roze na rakhne wale bethe hi rahenge.  Is gate se rozedaron ke ilawa aur koi dakhil hona chahe to bhi darwaza band ho jayega jo kabhi dobara nahin khulega.

3- Hazart Abu Huraira farmate hain ke Hazrat Muhammad (S.A.A.W) ne Irshad bayan kiya ke “ jo log Allah pak ki raah men kharch karte hain un joron ko Al-Riyan darwaze se andar bulaya jayega. Ae Allah ke bando!. Ye darwaza tumhare liye hi banaya gaya hai. Jo log musalsal nimaaz men rahte hain ya rahenge unhen bhi in gate se hi andar bulaya jayega.

Aur Jo log sadqa dete hain apne jism ka apne khane peena ka wo bhi is darwaze hi un logon ka naam pukara jayega. Jo log is darwaze se aayenge unhen kisi cheez ki zaroorat nahin rahegi.”  Hazrat Abu Bakar ne farmaya ke jab mene Hazrat Muhammad (S.A.A.W) se kaha ke mere Maa aur Bap bhi apke liye qurban hon. Apne Nabi se mene poocha ke is darwaze se fakat rozedaron ko hi bulaya jayega to Hazrat Muhammad (P.B.U.H) ne jawab diya “ ae Umar! Mujhe umeed hai ke ap bhi in dakhil hone wale logon men se honge”.

4- Hazrat Abu Huraira kahte hain ke apne Nabi ke pas ek shakhs aya aur poocha ke Ae Allah Pak ke Rasool! Mujhe ek kaam men ap hidayat denge ke kiya men Us darwaze se dakhil ho sakoonga. Ap ne farmaya “ Ap Allah Pak ki Ibadat karte ho aur kisi ko bhi sharik nahin samjhte hain Ap farz ke sath namaz qaim karo aur apne hise ki zakwat diya karen. Allah Pak Jannat men rozedaro aur ibadat karne walon ke dekh ke bare khush hote hain. Ap us ek nazare ko dekhne ki haami bharen. (Mus: Bukhari).

5- Hazat Saad Khuzri farmate hain ke Apne Nabi Hazrat Muhammad (S.A.AW) ne farmaya ke “Allah Pak kahte hain ke jo ek din ka bhi roza rakhte hain men un logon ke chahron ko  70 saal ki Jahanum ki aag door karonga. ( Muslim Bukhari).

6- Hazat Abu Huraira Irshad farmate hai ke Hazrat Muhammad (S.A.A.W) ne bayan kiya ke “ Jo Allah Pak aur us ke Rasool pe imaan rakhte hain. Aur Namaz parhte hain aur Ramzan ke roze rakhte hain Un logon ko Allah Pak ki taraf se Jannat men dakhil hone ka haq hasil hai. Allah Pak ne Rozedaron aur Allah pak ki raah men larne wale hain un ke liye 100 darwaze mahfooz kar ke rakhe hain. Aur un darwazon men zameen aur aasman jitna faraq rakha gaya hai.

7- Hazrat Maaz (R.A.T.A) ne bana kiya ke Nabi Pak ka irshad hai ke “Kiya men ap logon ki rahanmai na karoon? Roza ek dhal hai aur sadqa gunahon ke bachne ka zariya. Gunahon ke apne aap se itna door karo jitna paani aag ko bujhata hai. (Tirmizi)

8- Hazrat Abu Umama ne bayan kiya ke Hazrat Muhammad S.A.A.W ne irshad farmaya ke “ Allah Pak ne kaha ke jis ne meri khatir roza rakha Qayamat wale din us ke chahre ko jahanum ke aag se us ka chahre ko men mahfooz rakhonga.

9- Hazat Abu Umama kahte hain ke ek dafa mene kaha ke Ae Allah Pak ke Rasool! Ap mujhe koi aesa acha amal batayen jo men karon. To ap Rasool ne farmaya “ Roza rakho, is se koi bara aur acha amal nahin hai is duniya men”.

Ramzan ki Ahmiyat aur Fazilat in Urdu

10- Hazrat Abu Huraira farmate hain ek dafa Hazart Muhammad S.A.A.W ne Irshad bayan kiya ke “ Jab Ramzan ka mahina aata hai. To is poore mahene men Jannat ke darwaze khol diye jate hain aur dozakh ke darwaze band kar diye jate hain aur shaitaan ko bhi qaboo kar diya jata hai is maah men ( Muslim Bukhari)

11- Abu Huraira farmate hain ke apne Nabi ka Irshad hai ke “ jis ne bhi roze rakhen us ke pichle saare gunnah maaf kar diye jate hain. Aur wo gunahon se aazad kar diya jata hai. ( Muslim Bukhari)

12- Hazrat Umar se Riwayat hai ke Hazrat Muhammad S.A.A.W ne bataya ke “ islam ki buniyaad 5 usoolon par qaim hai jo ke is baat ki gawahi de rahi hai. Ke Allah pak ke ilawa aur koi ibadat ke laiq nahin, aur Muhammad (P.B.U.H) hi Allah pak ke rasool hain. Namaz ka qaim hona, Khana Kaaba ka tawaf, zakwaat aur Ramzan ke Roze”. Yeh hadees iss topic “Hadees about Ramadan in urdu” mein bohut ahm hai.

13- Hazar Aisha ne farmaya ke “ Mene Poore Ramzan men kabhi bhi apne Apne nabi ko roza chhorte huwe nahin dekha. Is poore maah men sab roze rakhte the aur is Ramzan ke ilawa shoban ke mahene men bhi roze rakhte the. (Muslim Bukhari)

14- Hazrat Abu Huraira bayan karte hain ke 5 waqt ki namaz parha karo aur ek jume se leke agle jume ke din tak sab namaze parha karen. Ek Ramzan se leke doosre Ramzan tak ke roze kufaara hote hain. Gunahon se parhez kiya karo taa ke  ap se gunah e kabira na ho. Jis ke koi maafi nahin hai. (MuslimBukhari)

15- Hazrat Abu saad kahte hain ke apne Nabi ne farmaya ke “ Allah pak ke pas wo log hain jin ko Allah pak fidya dete hain jo ke har musalman har time pe maafi hi maangte hain. Aur ek hi dua karte hain Allah pak unhen maaf kar deta hai is maah men( Muslim Bukhari)

16- Hazrat Abu Huraira se Riwayat hai ke Hazrat Muhammad S.A.A.W ne faryama ke ae logo apke liye hi Ramzan ka mahina aata hai, is ba barkat mahene mein roze rakha karen. Allah Pak ne iss maah men roze rakhen ka hukam diya hai q ke is maah men shaitan qaboo men hota hai aur Jannat ke darwaze khule rahte hian. Jo is maah men ibadat nahin karte wo beshak ibadat se hi mahroom hote hain.

17- Hazrat Anas bin Malik ne farmaya ke Allah pak ke Rasool ne ek bar farmaya ke “ Ap ke pas Ramzan ka mahina aa gya hai is maah men ek raat baqi hazar raton se bahtar hai , is men ajar hasil karo aur nekiyon se mahroom na raho.

18- Hazrat Abu Huraira farmate hain ke apne Nabi ne Irshad farmaya ke “ Jab Ramzan ki pahli raat aati hai to Allah pak Jahanum ke saare darwaze band kar deta hai aur koi darwaza khual nahin chhorta , aur is maah men Jannat ke sab darwaze khol deta hai aur koi nekiyon ka koi bhi darwaza band nahin chhorta. Burai se ruk jao aur Jannat ki khuwahish rakhne walon ko dhoondta hai.”

Ramzan Ka Aana

19- Hazrat Abu Huraira se riwayat hai ke Apne Nabi ne farmaya ke “ Ramzan se ek ya do din pahle roza na rakhen jab tak chaand nazar na aye. Han agar koi koi khaas din ke liye roza rakhta hai to wo rakh sakta hai par agar wo pahle roza rakhta ho to .

20- Hazrat Abu Huraira farmate hain ke Apne Nabi ne farmaya ke “ chand dekhne par roza rakha karen aur eid ka chand nazar aane tak roze rakha karen. Agar chand dekhne wali rat aasman par cloud hon to matlab 30 rozon ka mahina hai aur poore 30 roze hi rakhen.

21- Hazrat Abdul Rahman R.A.T.A kahte hain ke Apne Nabi Karim S.A.A.W ne farmaya ke Ramzan aur Zul Haj ke mahinon men koi kami nahin hogi. Yeh hamare topic “Hadees about Ramadan in urdu” mein 21 wen number par hai.

22- Hazrat Talha bin Ubaidullah farmate hain ke jab bhi kisi eid ka chand nazar aata tha to apne Nabi S.A.A.W ye dua mangte the jis ka tarjama kuch is tarah hai ke “ Ae Allah! Ye chand hamen salamti aur Imaan ke sath hi dikhayi de. Ae chand! Ap ka aur mera rab ek hi hai. Ye chand bhalayi aur khairyat ke hon.

Sehri ki Ahmiyat aur Fazilat in Urdu

23- Hazrat Anas R.A.T.A ne farmaya ke Hazrat Muhammad (PBUH) ka Irshad hai ke sahri ka khana khaya karo is men hi rozedaron ki bhalayi hai. ( Sahi Bukhari)

24- Hazrat Zaid ki riwayat hai ke jab Ham Hazrat Muhammad S.A.A.W ke sath sahri ki aur phir namaz ke liye khare huwe to mene Hazrat Muahammad S.A.A.W se poocha ke kiya ye waqfa sahi hai. To Ap ne jawab diya ke ye itna waqfa 50 aayat ki tilawat ke liye kaafi tha.

25- Hazrat Abullah Kahte hain ke Ap S.A.A.W din tak roza rakhte the us ko dekh ke logon ne bhi aesa kiya lekin un ke liye mushkilaten barh gayi. Aur unhen dekh ke is baat par maana kiya to log poochne lag eke Ae Allah pak ne Piyar Nabi q ! to Ap S.A.A.W ne farmaya ke men ap jesa nahin hon q k mujhe khane peene ki cheezen firahim ki jate hain”.

26- Hazrat Amir farmate hain ke Apne Nabi ne farmaya ke “ Hamare roze aur roze ke beech men jo farq hai use ahl e sahifa sahri kahte hain.

27- Hazrat Salman kahte hain Hazrat Muhammad S.A.A.W ne farmaya ke barkat 3 cheezon men hai. Jamait, dilya aur sahri.

27- Hazrat Umar se Riwayat hai ke Ap Nabi Karim S.A.AW ne farmaya ke “ Beshak Allah Pak aur us ke farishte sahri karne walon pe kuch khaas duayen bhejte hain. Yeh topic Hadees about Ramadan in urdu mein 27wen number pe hai.

Roza Kholne ki Fazilat aur Ahmiyat

29- Hazrat Sahil ne farmaya ke AP S.A.A.W ka Irshad hai ke jab tak log roza torne ki kosish nahin karte beshak wo log Achai par hi qaim rahenge.

30- Hazrat zaid bin khalid ne bayan kiya ke Apne Nabi Pak S.A.A.W ka Irshad hai ke “ jo rozedaron ko khana pohanchata hai use bhi itna hi ajar (sawab) milega jitna ke roza rakhne walon ko. Beshak roza rakho bina kisi laalach men. Allah Pak har ek ko ek jesa ajar deta hai.

31- Hazrat Anas (R.A.T.A) ki Riwayat hai ke Hazrat Muhammad (PBUH) ne farmaya ke roza kholne ke time pe fresh khajoor ke 3 qatre moonh men dala karen. Agar fresh khajoor na ho to khushk (dry) khajoor ke 3 qatre monh men dala karen aur in se hi roza khola karen agar khajoor na mil sake to pani ke 3 ghoont se bhi ap roza khol sakte hain.

Ramzan mein achhe Kamon mein Izzafa

32- Hazrat Abu Ayoub Ansari farmate hain ke Hazrat Muhammad S.A.AW ne Irshad farmaya ke “ Jis ne Ramzan ke Roze Rakhe aur phir shawal ke 6 roze rakhe us ko bhi utna hi sawab milega. (Muslim Bukhari). Yeh humare topic “Hadees about Ramadan in urdu” mein bohat ahm hai.

Roze ki Halat mein Jaiz Kaam ya Cheezen

33- Hazrat Aisha farmati hain ke Hazrat Muhammad S.A.A.W Ramzan aur roze men har ek se gale laga ke milta tha aur maathe pe bosa deta tha lekin Wo phir ap sab se ziyada apni khuwahishon pe qaboo pane wala shakhs huwa karta tha.

34- Hazrat Abu Huraira farmate hai ke Rasool Pak S.A.A.W ne farmaya ke “ Koi bhi aurat tak tak roza na rakhe jab tak us ka shohar ghar men moojod ho ya us ki ijazat se roza rakhe. Aur wo aurat apni kamayi se tab tak kuch kharch na kare jab tak us aurat ko apna shohar ijazat na de. Q k ye us ke liye aadha ajar (sawab) hai. (Bukhari)

35- Hazrat Aisha farmati hain ke Hazrat Hamza Ne Ap S.A.A.W se arz kiya ke Ae Nabiyon ke sardar! Kiya men safar men roza rakh sakta hon? Ap S.A.A.W ne farmaya ke wo ap pe hai chaho to rakho ya chahe na rakho .

36- Hazrat Aisha ne farmaya ke Ap Nabi Karim S.A.A.W roze ki halat men mere mathe pe bosa lete the lekin phir bhi hamesha apne khuwahishon par qaboo aur control men raha karte the. Agar koi roze ki halat men apne khuwahishon par qaboo paa sakta hai to Wo Ap S.A.A.W the.

37- Hazrat Abu Huraira farmate hain ke Apne Nabi Karim ka Irshad hai ke “ Har wazoo ke time pe roze ki halat men ap muswak de sakte hain. Zyada brush na kar saken ya mil sake to muswak ka thora tukra bhi roze ki halat men bahtar hoga.

38- Hazrat Abu Huraira ne farmaya ke Hazrat Muhammad S.A.A.W ne farmaya ke jis ne ulti (vomiting) pe qaboo paa lia use roza torne ki zaroorat nahin hogi. (Muslim Bukhari). Yeh “Hadees about Ramadan in urdu” ke topic mein 38 wen number pe hai.

Laylatul Qadr (Aakhri 10 Din)

39- Abu Huraira ne farmaya ke Ap S.A.A.W ne farmaya. Ke “ jo in Lailat ul qadar wali raton men qayam karega. Rat ki namaaz parhega aur Allah Pak se Umeedon se wabista rahega us ke saare gunaah maaf kar diye jayengen.

40- Abu Huraira ne bayan kiya ke Ap S.A.A.W ne farmaya ke “ mene ek rat khuwab men dekha ke ye aakhir wale 7 raten hoti hain. Iss men jo mange ga wo us ko zaroor milega aur in 7 raaton men jo apni duayen mangega Allah Pak us ki sab duaen qabool karta hai.

41- Hazrat Aisha ne farmaya ke Ap S.A.A.W khud Lailat ul qadar wali raton men tawaf karte the masjidon men. Allah Pak kahta hai ke in 7 raton men Lailat ul qadar hai ap unhen talaash karen. Matlab ibadat karen.

42- Hazrat Aisha ne farmaya ke mene dekha ke in Laylatul ul qadar wali raton men Nabi Karim S.A.A.W ne apna poora jism dhaanp lia tha aur apne apko Waqf kar dia. Aur Ap poori rat namaaz parhte the aur ibadat karte the. (Muslim Bukhari)

43- Hazrat Salman ne farmaya ke Ap S.A.A.W  20wen roze ki rat aye. Aur ham sab ko Lailat ul qadar ki raat Mubarak di aur kaha ke is raat ko talash karo. Aakhri 10 din Lailat ul qadar ki raton ke hote hain.

44- Hazrat Ibada ne farmaya ke ek rat Nabi Pak S.A.A.W ghar se nikle aur logon ko Lailat ul qadar ki rat ki aagahi dene ja rahe the. To aage ja ke dekha ke to wahan 2 log apis men lar rahe the phir Ap Nabi S.A.A.W ne farmaya ke men Ap logon ko Lailat ul qadar ki khushkhabri sunane aya hon. Aur ap apis men lar rahe ho. Un ka sulaah karwa ke bataya ke lailat ul qadar ki rat 25, 27, 29 ki raton men se koi bhi rat ho sakti hai.

45- Hazrat Aisha ki riwayaat hai ke Ap Nabi karim har kaam karne ki khud koshish zaroor kiya karte the.

46- Hazrat Abdullah Abu lahab farmate hain ke men janta hon. Iss raaat ko q ke 27 ki raat ko Hazrat Muhammad S.A.A.W ne is raat ko hamen namaz parhne aur ibadat karne  ka hukam diya tha.

47- Hazrat Abu Huraira farmate hain ke men is rat ko janta hon ke is rat ke bare men Hazrat Muhammad (PBUH) ne ailan kiya tha ae Musalmano! Ap pe ye mahina nazil huwa hai. Is men ap ibadat karo, roze rakho, namaz qaim karo aur apne maazi ke gunah qabool karwane ki haazri bharwa lo. Ap ki aakhrat bhi saaf ho jayegi.

48- Hazrat Aisha ne farmaya ke ek rat mene Apne Piyar Nabi Hazrat Muhammad S.A.A.W se poocha ke men kia dua mangoon? Ap S.A.A.W ne farmaya ke ap ye dua mango “ Ae Allah! Ap sab se zyada bakhshne wale ho, aur ap maaf karne wale hain, maafi mangne wale ko pasand karte hain to Ap Allah Pak mujhe bhi maaf kar den”. Aur yeh hamare topic “Hadees about Ramadan in urdu” mein 48wen number par hai.

Itikaf mein baithne ki Fazilat

49- Hazrat Aisha ne farmaya ke Hazrat Muhammad PBUH ne Irshad farmaya ke aakhri ushraa men aitkaaf men betha karen. Ibadat ke Masjid men akele bethne ke liye aur ibadat karne ke liye”

50- Hazrat Abu Huraira se riwayaat hai. Ke AP S.A.A.W har ramzaan ke maah men 10 din aitkaaf men betha karte the. Jab tak us ne is dunia se rahlat ki.

Sources

  • Sahih Imam Al-Bukhari
  • And Sahih Imam Muslim
  • Sahih wa Daif Sunan Abu Dawud by Al-Albani Aur Sahih wa Daif Sunan At-Tirmidhi by Al-Albani
  • Aur Sahih wa Daif Sunan An-Nasa’i by Al-Albani Sahih wa Daif Sunan Abu Dawud by Al-Albani
  • Sahih wa Daif Ibn Majah by Al-Albani Sahih wa Daif Al-JamiAs-Saghir wa Ziyadatuh by Al-Albani Sahih At-Targhib wa At-Tarhib by Al-Albani At-Taliqat Al-Hisan `ala Sahih ibn Hibban by Al-Albani
  • Irwaa’ Al-Ghalil fi Takhrij Ahadith Manar As-Sabil by Al-Albani
  • Referencing of Al-Kalim At-Tayyib by Al-Albani
  • Referencing of Mishkat Al-Masabih by Al-Albani

Conclusion

Hume umeed hai, humara yeh topic Hadees about Ramadan in urdu mein apko achi maloomat mili hogi. Agar aise aur topic par maloomat chahte hain. To hume comment box mein apni rai se agha zaroor karen.

3 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *