Charlie Chaplin Biography in Urdu

World ka best comedian Charlie Chaplin ki biography in Urdu mein batane jarhe hain. Charlie ki janam se maut ka safar urdu mein.

Charlie Chaplin History in Urdu

Janam: April 16, 1889
London, England
Maut: December 25, 1977
Vevey, Switzerland

Ek film actor, director aur writer Charlie Chaplin films ki duniya ka ek original creator tha. The tramp ke tor par iss ki performance, gair mozoon libbas aur moochon ki waja se poori duniya mein aaj tak bohut e zyada famous hai.

Contents

Charlie Chaplin ka Bachpan

Charles Spencer Chaplin 16 April 1889 mein England ke ek gareeb district London mein baida huwe. In ki walida Hannah Hill Chaplin ek talented singer, actress, aur piano player thi. In ki zindagi ka khasa hissa mental hospitals aur safar mein guzra. Charlie ke walid Charles Spencer Chaplin Sr. ek kamiyab singer the. Jab tak unho ne sharab noshi start nhi ki. Iss ke waliden ki alehdgi ke baad Charlie aur uss ke sotele bhai Sidney ne apna zyada bachpan yateem khano mein guzara. Jahan wo aksar bhooke rehte the. Aur agar wo batmeezi karte the to unhe maara peeta jata tha. Bamushkil parhne likhne ke bad Chaplin ne mazahiya tafreeh karne wale group ke sath kam karne ke liye apna school beech mein chor diya. Baad mein uss ne comedy adakari ki. 19 saal ki umer mein wo England ke famous music-hall performers mein se ek ban gaye.

Charlie Chaplin United States Pohche

1910 mein Chaplin English music hal mein ek rat ke liye tour par United Status gae. Unhe filmmaker Mack Sennett (1884–1960) ne silent Keystone comedy series ke liye muntakhib kya gaya. Un shurwati filmon mein ( Making a Living, Tillie’s Punctured Romance ) Chaplin ne apna andaz badla. Uss arse ke doran unki kuch filmen His New Job, The Tramp, aur The Champion theen. Jo uss ki comedy ke liye bohut famous hwen. Mutual Company ke liye unki 1917 ki fimen One A.M. , The Pilgrim, The Cure, Easy Street, aur The Immigrant kabile daad rahen. 1918 mein Chaplin ne apna studio banaya. Aur National Films ke sath ek million dollar ka mohaida kya. Jiss mein uss ne bohat se famous movies banayen.

Chaplin ki Kamyabyan

1923 mein Chaplin ne D. W. Griffith (1875–1948), Douglas Fairbanks (1883–1937), aur Mary Pickford (1893–1979) ala mayar ki feature-length movies banane ke liye United Artists (UA) tashkeel diya. A Woman of Paris (1923) ek drama tha. Uss ke bad Chaplin ke 2 comedy movies The Gold Rush (1925) aur The Circus (1928) ne bohut naam aur paisa kamaya. Chaplin ne City Lights (1931) mein director rahe. Jo ek sharabi crore pati aur ek nabeena phool wali larki ki ek khoobsurat kahani hai. Modern Times (1936) bohut e kamyab aur maqbool sabit huwee. Iss ke ilawa aur bhi bohut si movies thi jin mein chaplin ne apna loha manwaya. 1930 aur 1940 ki dahanyon mein chaplin ne production aur direction mein bohut naam aur paisa kamaya.

1950 ke baad Chaplin ne kafi mushkil daur dekha. Jahan par kafil cheezon mein preshani huwi. Iss qadar ke usse United Status chorna parh gaya.

Chaplin ki United Status mein Wapsi

Aur phir 1972 ki dahai tak waqat badal chuka tha. Aur Chaplin ko ek bar phir film mein bharpoor shirkat ke liye pehchana gaya. Wo 1972 mein America wapus aye. Jahan unko New York City aur Hollywood, California mein bare kharaj e tehseen se nawaza gaya. Jiss mein special Academy Award bhi shamil hai. 1975 mein wo Sir Charles Chaplin ban gaye. Jab England ki Queen Elizabeth II ne unhe knight kya. 2 saal bad December 1977 ko Chaplin Switzerland mein need mein e intekal kar gaye.

Charlie Chaplin ki biography in urdu mein uss ki maut ke baad bhi bohat kuch tha. Lekin hum sirf yahan tak stop karte hain. Agar apko aage jaan’na hai to hume comment section mein likhna na bhoolne.

3 Comments

  1. Blogi Edukacyjne May 28, 2022 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *