Abida Parveen History in Urdu [Interesting Info]

Dosto! Aaj apko Abida Parveen the Queen of Sufi Music ki zindagi ki history ke batane jarhe hain in urdu.

Abida Parveen the Queen of Sindhi Music
Abida Parveen History in Urdu

Abida Parveen ka janam din February 20 1954th ko Pakistan ke azeem miti sindh ke tareekhi shaher Larkana men huwa. Larkana ki khasiyat ye bhi maani jaati hai ke wo dunia ke taqatwar aur mashahoor logon ke janam bhoomi hai.

Abida parveen ka walad sahib Khud ek musician aur kalaakar tha. Jis ka naam ustad ghulam haider tha. Jo khud us time ka bara singer mana jata tha.

Abida parveen ne jeevan men jitni kamyabi mani jati hai utni iske zindagi mein dukh aur sakhtiyan bhi bardasht kar chuki hai.

Contents

Mushkil Waqt

Koi time tha jab Pakistan ke log aur abaadi un parh thi aur logon men qaum parasti ka urooj tha. Aur siaasi halaat ke mutabiq us time Pakistan mein marshall law ka urooj tha.

One unit movement urooj pe thi. Sindh mein uss time sarmad sindhi , syed suleman shah aur Abida parveen ka naam tha. Jin ke mahfilon men log jhoom jhoom ke utha karte the.

Jab Pakistan ki awaam jelon mein jana shuru huwi aur us time General Zia ul haq ki hukoomat thi. Uss time is had tak bhi kaha jata hai ke Abida parveen ke sar pe goli ka order lag chukka tha.

Us time inko majboor hoke Lahore mein mazhabi jaghion pe chhup gayi. Aur Sachal sarmast aur bhittai sarkar ki deewani ban ke din rat apne riyaaz pe lag gayi.

Ye khud man chuki hai ke in ko mushkil haalat men sindh ke dargahon ne sahara deke insaan banaya hai.

Aj Poori duniya mein koi urdu ya sindhi mein Musical Mehfil, Musical Show jo bhi shuru hota hai us men Abida parveen ko judge bana ke bithana majboori ban gayi hai.

Aur aesa koi show ya concert nahin hai jis ki ibtada Abida Parveen ke soofi songs ke begair shuru ho aesa mumkin hi nahin banta.

Abida parveen to wese bohat kisam ke mahfilen kar chuki hai. Lekin Shah Abdul Latif ke 30 sur, Sachal Sar mast Aur Baba Bulhe shah ko agar kisi ne gaa ke logon men aam kiya to wo sehra inke sar pe jata hai.

Abida Parveen ko Milne wale awards

  • Sa re ga ma pa
  • Hum TV
  • Radio Pakistan 50 Years
  • PTV
  • World Famous Ekta Singers
  • Shah Adul Latif Gold Medal
  • Sindh Graduate Association Gold Medal
  • Hilal e Imtiaz Award
  • Sitara e Imtiaz Awad
  • PTV 2
  • Honorory Awad for research fellowship
  • Shah Bhittai 2nd time
  • International Sufi Music Award
  • Shah Abdul Latif 3rd time

Muhtarma Abida Parveen Pakistan ki wo wahid singer hai jis ke wajah se Pakistani singers ko India ki musical show men participation ka moqa mila.

Aur sab se bari baat ke wo show Pakistan ke larke Nabeel Shaukat Ali Lahore ke larke ne Sur K Shetra ka award jeeta tha aur champion ka title Pakistan ke naam kia.

3 Comments

  1. ppevxjph February 13, 2022 Reply
  2. writing.ra6.org December 31, 2022 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *