Benazir Bhutto History in Urdu [A Real Story]

Benazir Bhutto History in Urdu

Aaj hum Pakistan People’s Party ki bahadur leader shaheed Benazir Bhutto ki history urdu mein batane jarhe hain. Mohtarma Benzir Bhutto ke janam se lekar maut tak ka safar janege. Aaj hum janege ke ek aurat kis tarah apna, apne khandan aur party ka khayal rakha. Kaise yeh Pakistan aur muslim qaum ki pehli wazir e azam bani. Hum batayege ke kaise iss ki government ko khatam kya gaya aur kaise usse rawalpindi ke maidan mein shaheed kiya gaya.

Contents

History of Benazir Bhutto in Urdu

Benazir Bhutto ka janam 21 June, 1953, Karachi, Pakistan mein hua. Aur iss ki maut 27 December, 2007, Rawalpindi, Pakistan mein hui. Yeh muslim qaum ki pehli khatoon leader bani. Benazir 2 bar wazir e azam bani, ek bar 1988 se 1990 tak aur doosri bar 1993 se 1996 tak. Yeh bhutto siyasat daan Zulfiqar Ali Bhutto ki beti thi. Jo 1971 se lekar 1977 tak Pakistan ke leader rahe. Benazir ne Harvard University mein (B.A., 1973) kya. Aur philosophy, political science, aur economics University of Oxford (B.A., 1977) mein kya.

Benazir Bhutto ka Siyasat mein Qadam

1979 mein Mohammad Zia-ul-Haq ke daur mein apne father ki phansi ke bad, iss ne apne father ki party Pakistan People’s Party (ppp) ki sarbarah bani. Aur yeh wo waqat tha jab Benazir ne pehli bar siyasat mein qadam rakha. Aur 1979 se lekar 1984 tak apne ghar nazar band rahi. Uss ke bad usse jalla watan kar diya gaya 1984 se 1986 tak. Martial law ke khatme ke bad yeh watan wapus ayee aur election mein kamiyabi haisl ki. 988 mein yeh Pakistani ki pehli khatoon wazir e azam bani.

1990 mein Ghulam Ishaq Khan ne corruption ke ilzaam laga kar Benazir ki government ko bar taraf kar diya. 1990 mein dobara election huwe to Bhutto ki party ko shikast huwe. 1993 ke election mein Benazir ki party phir se kamiyab huwee. Aur Banazir dobara wazir e azam ban gayee. Aur 1996 mein phir se corruptions ke ilzam laga kar uss government ko Farooq Leghari ne khatam kar diya. 1996 se 1999 tak iss ke husband Asif Ali Zardari ko jail phir jalla watani ka samna karna parha.

benazir bhutto history

2002 mein Pervez Musharraf ke hukam naame ke tehat election karwaye gaye. Lekin uss election mein Bhutto ko hissa lene nhi dya gaya. Issi beach PPP party ke naam mein ek aur P jur dya gaya. Yani ab yeh PPPP hogaya jiss ka full form hai, Pakistan People’s Party Parliamentarians. 2004 mein Benazir ki husband Asif Ali Zardari ko zamanat par azaad kar ke jalla watan kar dya gaya.

Benazir Bhutto ki Pakistan Wapsi

Benazir Bhutto back to pakistan

Benazir Bhutto 8 saal ki jalla watani ke baad October 2007 ko Dubai se Karachi aaye. Jahan par lakhon logon ne Bhutto ka istakbaal kya. Jab Benazir airport se Bilawal house jarhi thi. To uss par khud khush hamla hua. Uss hamle mein kaafi log mare gaye. aur kaaf zakhmi bhi huwe. Lekin ek baat achi thi ke Benazir saheba ko koi chot ya nuksaan nhi hua. Tab yeh to saaf ho chuka tha ke Benazir ko Pakistan mein zinda chorne wale nhi hain. Wo kon log the jo aisa chah rhe the, uss ka aaj tak pata nhi chala.

Aur phir December 27, 2007 ko Rawalpindi mein ek jalse ke doran goli mar kar shaheed kar daya gaya. Benazir ki maut ne poore Pakistan ko hilla kar rakh diya. Poore 3 din tak poora Pakistan band raha. Log sarkon par nikal aye aur sarkari buildings ko torna shroo kar daya. Yeh Pakistan ka bohut e bura time tha. Jab Pakistan ki ek azeem leader usse chor kar humesha ke liye chali gayee.

Top Questions About Benazir Bhutto in Urdu

Question no:1- Benazir Bhutto itni ahem kyun thi?

Benazir Bhutto jadeed tareekh mein Muslim qaum ki pehli khatoon leader thi. Unhon ne 1988 se 1990 aur 1993 se 1996 do bar Pakistan ki wazir e azam ke faraiz adda kiye.

Question no:2- Benazir Bhutto ke waliden (parents) kon the?

Benazir Bhutto ke walid (father) azeem siyasat daan Zulfiqar Ali Bhutto the. Jo 1971 se lekar 1977 tak Pakistan ke leader rahe. Benazir ki walida (mother) Nusrat Bhutto thi jo 1980 mein parliament ke liye muntakhab huwen aur opposition ki leader thi.

Question no:3- Benazir Bhutto kaise mashhoor huwen?

Benazir Bhutto ko 1979 mein Pakistan People’s Party ka chairman banaya gaya. Yeh apne jazbati taqreer ke liye mashhor thi. Iss ne jalla watani dekhi, foji dictators ka samna kiya aur 2 bar wazir azam bani.

Question no:4- Benazir Bhutto ke bachon (children’s) ke naam kya hain?

Benazir Bhutto ke 3 bache (children’s) hain. Bilawal, Bakhtawar, aur Aseefa Bhutto Zardari.

Also Read: Interesting Facts about Pakistan in Urdu

Also Read: History of Allama Iqbal in Urdu

2 Comments

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *