Mehmood Ghaznavi History in Urdu | First Sultan in History

First Sultan in history, Gee han 971AD (Nov. 2, 971) mein janam lene wale Sultan Mehmood Ghaznavi ya Mahmud of Ghazni ki history urdu mein bayan kar rahe hain.

Mehmood Ghaznavi History in Urdu

Mehmood Ghaznavi ya Mahmud of Ghazni (Nov. 2, 971–April 30, 1030) tareekh ka pehla pehla hukamran, jisne “Sultan” ka laqab akhtiyar kiya. Jisne Ghaznavid saltanat ki buniyad rakhi. Yeh jiske hukamran rahe un mein Iran, Turkmenistan, Uzbekistan, Kyrgyzstan, Afghanistan, Pakistan, aur northern India shamil hain.

Contents

Mehmood Ghaznavi Facts

  • Known For: First sultan in history
  • Also Known As: Yamin ad-Dawlah Abdul-Qasim Mahmud ibn Sabuktegin
  • Born: Nov. 2, 971 in Ghazna, Zabulistan, Samanid Empire
  • Parents: Abu Mansur Sabuktigin, Mahmud-i Zavuli
  • Died: April 30, 1030 in Ghazna
  • Honor: Pakistan named its short-range ballistic missile the Ghaznavi Missile in his honor.
  • Spouse: Kausari Jahan
  • Children: Mohammad and Ma’sud (twins)

Mehmood’s Early Life

2 November 971 ko Yamin ad-Dawlah Abdul-Qasim Mahmud ibn Sabuktegin jo Mehmood Ghaznavi ke name se mashhoor hain, janoobi Afghanistan ke qasbe Ghazna mein paida huwe. Iske walid Abu Mansur Sabuktegin ek Turk the. Jo Ghazni ke Sabik Mamluk Ghulam Jangju the. Sabuktegin ne 977 mein apne abae shehr Ghazni par qabza kar liya. Uske bar usne Kandahar se deegar Afgan shehron ko fateh kiya. Iski saltanat ne Ghaznavi saltanat ka marqaz banaya. Mehmood Ghaznavi ke bachpan ke bare mein zyada maloomat nhi hain. Iske do chote bhai the.

Sultan Kaise Bane

Sabuktegin jab bister nasheen huwe, to usne agla Sultan Mehmood ke chote bhai Ismail ko banane ka ailan kar diya. Jab Mehmood ko yeh baat pata chali, jo ke us waqat Nishapur (jo ab iran mein hai) mein tainaat tha. To usne Ismail ke haq hukamrani ko challenge karne ke liye foran mashraq ki taraf chal diya.

Mehmood ne 798 mein apne bhai Ismail ke hamiyhon par qaboo pa liya, aur Ghazni par qabza kar liya. Takht apne liye le liya, aur Ismail ko umer bhar apne ghar mein nazar band kar liya. Iss tarah wo Sultan bana jo 1030 mein apne marne tak hukamrani ki. Apne maut ke waqat tak Mehmood ki saltanat Gujarat mein behre hind ke sahelon tak phehli huwi thi.

Mehmood Ghaznavi Wife

Mehmood ne Kausari Jahan naami larki se shadi ki, jisse ise do jurwa bete baida huwe. Jinke naam Mohammad aur Ma’sud the. Ma’sud ka beta Maw’dud Ghaznavi baad mein Ghazni ka Sultan bana.

Conclusion:

Sultan Mehmood Ghaznavi ki urdu ya english history mein aur bhi kai baten suni aur parhi gayee hain , Lekin unko sach man’na ya jhoot samjhna ke liye khaas daleel nhi hai. Isliye hum ne un baton ka zikar is post mein nhi kiya. Kuch log khas tor par Muslim Mehmood ko Greatest Leader mante hain. To Doosre kuch mazahab isse be reham bhi kehte hain. Behar hal humari post apko kaisi lagi, comments section mein zaroor batayen.

2 Comments

  1. zoritoler imol December 16, 2022 Reply
  2. Percy Fowler August 8, 2023 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *