Che Guevara Kon Tha Full History in Urdu and Hindi

Che Guevara kon tha aur kya karta tha. Aaj hum Che Guevara ki kahani janege. Aur janege Che Guevara ki personal life ke bare mein.

Che Guevara Kon Tha

Duniya mein agar kisi insan ki bahaduri aur himat ki baat ki jaye to un ke top list pe Che Guavera lika jata aur parha jata hai. Aj hum aise shakhs pe nazar dora ke dekhte hain. Ke aakhir iss lal topi wale shakhs ki jawani mein konse karname dikha ke soye hain?

Contents

Che Guevara kon tha

Che Guevara Argentina ke shaher Rosario mein 14 june 1928 ko janam liya. Iss comrade ko Cuba ka father/bap bhi kaha jata hai. Duniya ke logon mein ye Baghi aur comrade mana jata hai jab ke America aur Europe men is Inqlab ki alamat ko “Dahshatgard” aur “Fashist” laqab dia gaya tha. Apne walad ke 5 aulad men sab se bara bhi Che Gavera hi tha.

Che Guevara History in Urdu

Bache to sab bache hi hote hain. Aur foreign mein har bache ko taleem ke liye chhora jata hai ke ye parh ke kuch na kuch banen. Lekin taqdeer ne bhi aisa karishma dikhaya ke Che Guevara ko bachpan se hi asthma ( saans) ki beemari thi.

Jis ki wajah se isse school mein admission na mil saka. Aur isske walid majboor hoke isse ghar mein parhane pe majboor the.

Ek beemari aur doosra yeh shoq bhi ajeeb rakhta tha. Surkh colour ki cap (topi) aur hath mein cigar rakhana iss ka bachpan ka hi shoq tha. Aur rugby and cycling bhi Che ka roz ka pesha tha. Lekin jo sab se ise zyada pasand aur gehari cheez se taluq rakhe wo Shartanj thi.

Shatraj aur apni mahbooba mein se 2no ko ek jitni izat dena bhi iska pahla farz samjha jata tha. Profession mein Che Doctor bhi thi. Lekin apne ghar mein bani huwi library uski din rat bethne ki jagah ban gayi. Jahan wo apna sara din guzarta tha.

Taleem se shoq to tha lekin uss library mein #Communism ke bani Carl Marx ke kuch kitaab unke dil o dimag mein apni jagah bana gaye.

Che Guevara ki Baghi Kahani

Uss waqt poori duniya mein 2 kismon ka nizaam raij tha. Ek taraf duniya ke ameer mulk the jo duniya mein sarmayedaari ki rakhwale karte the. Jese ke America, France, Russia jese mulk jinhon ne apna sarmaya aur dolat kathi karne ka soch rahe the. Aur poori duniya ko apne unglion pe nacha rahe the.

Uss ke khilaf doosri taraf Communism ke party Carl Marx ke jhande ko apna kafan banaye bethi thi. Us time Che Gavera ko apni jadojahad barhane ke liye China ke mukhtlif ilaqon mein bhej dya gaya tha. Ke wo wahan ke wasee nizam ka jayeza le sake. Chile, Guati Malla ke ilaqon mein gareebon ko mahengai mein peesta huwa dekh kar aur bhi sarmayedaron ke khilaf mazeed baagi huwe .

Che Guevara and Federal Castro ki Kahani

Uss time Federal Castro bhi inke hamrah ban gaye. Aur jadojahad ko mazeed barhane mein ek doosre ke dost ban ke nikle. Inn in 2no ke taraf se banaye gaye lashkar ne 1958 mein Cuba ke ilaqon par hamla kar dia. Aur wahan pe communism ka jhanda lahraya.

Che duniya ke mukhtlif mulkon ke dore bhi kiye . Pakistan mein bhi President Ayoub ke pas aye the 2 din ke dore pe. Aur baad mein America bhi gaye jahan General Assembly mein speech bhi ki.

Uss time china aur Russia ek doosre ke khilaf the. America ne 1500 logon pe mushtmil ek group bhi banaya ke Che ko zinda ya murda pakra jaye. Jab uss foj ke group ne Che ko pakra aur usse 3 golyan mari, dil, seene aur tang pe goli lagne ke baad Che ne aakhri jumla kaha tha ke “Tum ek shakhs ko to maar sakte ho lekin uss ki soch nahin. Mujhe fakhar hai ke mein kuch karke jaa raha hon”.

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *