Taj Mahal Ki History in Hindi And Urdu Real Information

Hum Aap Ke Liye Laye Hain Taj Mahal Ki History in Hindi and Urdu Mein. Aaj Hum Janege Ke Taj Mahal Kis Ne Banaya Tha, Taj Mahal Ki Haqeeqat Kya Thi. Shah Jahan Badshah Kon Tha. Taj Mahal Kab Bana Aur Taj Mahal Kyon Banaya Gaya. Ao Taj Mahal Ki Haqeeqat Se Barda Hatatay Hain.

America ke President Bill Clinton jab India aye to Taj Mahal visit kiya. To unhon ne apne alfazon mein likha ke duniya ke andar fakat 2 kisam ke log rahte hain. Ek khush naseeb log jinhon ne Taj Mahal ka deedar kiya. Doosre bad naseeb log jin ki aankhen iss khoobsurat mahal ko nahin dekh sake.

Contents

Taj Mahal Kisne Banaya

Dunia mein aap ne kaafi khoobsurat cheezen aur jagah dekhi honge. Lekin iss mahal ki sab se bari khusoosiyat yeh bhi hai ke iss mahal ko ek badshah ne apna dil rakh ke iska bunyad daala tha. Jiss ka naam tha Shah Jahan.

Shah Jahan Kon Tha

Shah Jahan ko shahjahan bhi likha jata hai. Aur Shah Jahan ko Prince Khurram bhi kaha jata hai. Shah Jahan ka asal naam Shihab al-Din Muḥammad Khurram tha. Iss ke father ka name Jahangir tha full name Nur-ud-din Muhammad Salim tha. Shah Jahan Lahore mein January 5, 1592 mein paida hue. Shah Jahan ne January 22, 1666, Agra mein wafat pai.

Taj Mahal Kahan Per Hai

Taj Mahal India mein Yamuna Nadee ke kinare Agra shaher ke andar hai. Isse door se dekhtay hi andaza ho jata hai. Ke yeh ek ajooba hai. Iss ke andar jane ke baad aap ko yeh andaza lag jaiga. Ke Shah Jahan waqai mein ek bohat barha aashiq tha.

Taj Mahal Kyu Bana

Shah Jahan Badshah ko Mumtaz begam jo uss ki wife thi. Badshah usse bohat pyar karta tha. Aur jab Mumtaz ki death howi to uss ke nishani ko hamesha zinda rakhne ke liye iss imarat ka bunyad rakha gaya tha

Taj Mahal Kab Bana

1631 mein rakhi jane wali iss imarat ke 2 barhe gates hain. Ek jo samne se nazar aata hai. Wo darasal peeche wala exit darwaza hai, jo Yamuna Nadee ke samne hai.

Iss mahal ke ban’ne se pahle iss nadee ke raste ek registan tha. jisse baad mein badshahon ne nadee banwa dia. Akbar Badshah aur uss ke mahman is nadee se ek chabutre/ yatch se charh ke andar aate the. Aur baad mein iss se nikal jate the.

Taj Mahal Ki Haqeeqat

Ek Haqeeqat yeh bhi hai. Ke isse pollution/smoke ne iss imarat ka rang hi tabdeel kar dia hai. Warna Shah Jahan badshah ka khayal tha ke isse sone se banwana chahye.

Duniya ke 7 ajoobon mein se Taj Mahal bhi ek ajooba hai. Jinhen “ 7 wonder places of the world” mein shumar bhi hai. Yeh Ganeez Book of Record mein bhi shamil hai.

Taj Mahal ki height Qutab Minar se bhi kayi guna zyada hai . Iss imarat ke baher se banwe huwe 4 pillars ko bhi aese tarteeb se banaya gaya tha. Ke agar kisi surat ya mushkil mein gir paren to bhi is imarat ko koi nuqsan na pohche. Ya yeh imarat ke andar na giren.

Logon ka kahna yeh bhi hai ke iss imarat ke daakhle/entry gate pe ek jumla bhi likha hai. Jiss ki wajah se yeh bhi kaha ja sakta hai. Ke sab se pahle likhayi ka kaam bhi issi imarat pe huwa hai . Aur ye telegraphic painting likhne wala ka naam Abdul Haq tha. Jo us waqt iran/Persia ka resident tha. Jisse Shahjahan Badshah ne Amanat Khan ka naam de diya tha.

Mughal saltanat mein sab se sunehri doar bhi Shah Jahan badshah ka likha jata hai. Kyon ke Shah Jahan badshah dimag ka itna tez tha. Ke usne apni soch se wahan pe larayan aur jhagre khatam karwa diye the.

Also Read: Mohenjo Daro History in Urdu [History and Facts]

Taj Mahal Ka Bunyad

Shahjahan badshah apni jawani mein bari imaraton ka buniad rakhne mein bohat dilchaspi leta tha. Aur iss imarat ke liye usse white/sufaid sang marmar Rajisthan ke ilaqe makran se gadhon pe uthwa ke katha kiya tha.

Iss imarat mein bohat se cheezen baher ke mulkon se mangwaye gae thein. Jese ke jade aur crystal China se mangwaya gaya tha. Aur lepis Tibet se. Jasper Punjab se aur sapphire sri lanka se.

Iss imarat mein istemal hone wale alag alag 28 iksaam ke pathar the. Jinhen Taj Mahal mein lagaya gaya tha. Inn ko ek sath kathe hone mein special janwar hathi 1000 se zyada mangwae gaye the. Taake inhen takmeel tak pohchaya ja sake.

Taj Mahal Kitne Din Me Bana

1631 mein iss ka kaam start huwa tha. Aur 22 saal ke lagatar kaam ke baad yeh mukmal ho saka tha.
Ek bat aur bhi mashahoor hai iss ke bare mein ke Shah Jahan badshah ne karigaron ke hath kaat diye the. lekin yeh jhoot hai ya sach iss ka pata kisi ko nhi hai.

Q ke Shah Jahan badshah apne gulamon ka khaas khayal rakhta tha. aur apne sare mazdooron se likhwa dya tha aap iss ke baad aisi koi imarat nahin banaoge.

Also Read: Interesting Facts about Pakistan in Urdu

Conclusion

Hume umeed hai ke humara topic Taj Mahal Ki History in Hindi aap ko pasand aya hoga. Hum ne poori koshish ki ke aap ko taj mahal ki poori aur haqeeqi kahan batain. Agar aap ke zehan mein koi sawal ya suggestion hai. To hume comments box mein zaroor batain. Aap hume direct contact bhi kar sakte hain…

2 Comments

  1. XMC.pl May 29, 2022 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *