History of Karachi in Urdu

Aaj hum iss topic “history of karachi in urdu” mein explain karne wale hain, Pakistan ke sab se largest city karachi ki history. Hum jane ge ke Karachi ka pehla naam kya tha, Karachi ki population kitni hai aur karachi ki poori maloomat batane jarhe hain.

history of karachi in urdu

Roshaniyon ka shehr Karachi Pakistan ka sab se bara aur khoobsurat shehr hai. Yeh duniya ka 12 number par bara shehr hai. Isse Pakistan ke soobe Sindh ka capital ka darja hasil hai. Karachi Pakistan ka sab se bara sanatee aur malyati marqaz hai. 2019 tak Karachi ki GDP $164 billion thi. Pakistan ki 2 bari seaports Karachi seaport aur Bin Qasim seaport ke sath sath yeh Pakistan ki masroof tareen airport Jinnah International Airport ka ghar hai.

Contents

Karachi Short History in Urdu

Asal mein 1839 mein duniya ke naqashe par ek chhote se nukte se kuch zyada, karachi sirf mahi giri ka ek chote sa shehr tha. Jisse bunyadi tor par Blochistan aur Makran ke area qabail ne abad kiya tha. Pehli basti par sindhi bloch khandan ki hakumat rahi, jisse talpur kaha jata hai. Tab iss basti ko Kolachi ke naam se jana jata tha. Baad mein karachi ka name kolachi se badal kar karachi parh gaya. 1947 mein jab Pakistan azaad hua to karachi pakistan ka capital banaya gaya. Lekin 14 August 1967 mein Islamabad ko Pakistan ka naya capital banaya gaya. Lekin Sindh ka capital aaj bhi Karachi hai.

People in Karachi

Karachi mein kafi kome rahti hain jaise Memon, Makrani, Agha Khani, Hazara, Hindu, Christian, Parsi, Bohri, Pashtun, Punjabi, Balochi, Behari, Bangali aur Sindhi etc shamil hain. Yahan ka qanoon bohut e saaf hai. Sab ko apna haq aur tarja milta hai. Agar aap hindu hain to apko apne khuda ki ibadat ka poora haq mila hua hai. Aise hi hai har mazhab ko apna apna haq mila hua hai.

Food in Karachi

Karachi apne rang barange khanon ke liya poore Pakistan mein mashhoor hai. Misal ke tor par Dhoraji market for Gola Ganda, Burns Road for Nihari, Rabri aur Haleem, Hasan Square for Sajji aur BBQ, aur Khadda Market for its Roll Paratha. Karachi ke log khana bohut shoq se khate hain. Iss ke ilawa yahan Pav Bhaji, Khatta Aloo, aur Lasaniya Batata aur Gathiya bhi bohut zyada pakai aur khai jate hain. Karachi mein KFC, Pizza Hut aur McDonalds ki bohat si shakhen mojood hain.

Clothes in Karachi

Karachi ko fashion ka garh mana jata hai. Yahan par apko aurton aur mardon ke kafi fashion milenge. Yahan ke log kapro ko bari value dete hain. Karachi mein pehn’ne wale kapron mein shalwar kameez, jeans & T-shirts aur bhi bohut se naam hain. Yahan par apko clothes ki bohat barhi industries mojood hain.

Also Read: History of Kashmir in Urdu

Entertainment

Poore Pakistan mein se kafi log karachi ka visit karte hain. Kyu ke isse roshanyon ka shehr aur khabhi na sone wala shehr kaha jata hai. Yahan par ghoomne ka liye Clifton, Manora aur Hawksbay beaches famous hain. Aur yahan luxurious malls jaise Dolmen, Forum, Millenium and Pak Towers bhi mojood hain, jisse log lutaf undooz hote hain. Atrium aur Cineplex jaise cinema ghar mojood hain jo high quality ki movies dikhate hain. Sports ke hawale se yahan par cricket, football, hokey, snooker bowling, car racing aur ice-skating ka bohat sara junoon paya jata hai.

Yahan par bari companies ke headquarters mojood hain. Jiase ke Mobilink, Geo TV, ARY Digital aur Habib Bank Limited wagera shamil hain.

Karachi mein ziyada tar jo zabane boli jati hain un mein Sindhi, Punjabi, Pashto, Gujrati, Balochi, Makrani, Serayki aur Bangali shamil hai.

3 Comments

  1. Portal May 27, 2022 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *