Blogger Meaning in Urdu | Full Definition

Blogger Meaning in Urdu | Blogger wo hota hai jo online journal ya websites ke liye regularly likhta hai. Ek Personal Blogger apni website par apne khayalat, pictures, videos aur doosri sites ke link rakhta hai.

Blogger ka apni website par poora record rakhta hai, ke blogger apne din kaise guzarta hai, usski kya kya hobies hain jaise book read karna, tv dekhna, shopping karna etc..

Blogger Meaning in Urdu

Contents

What is Blogger in Urdu

Definition: Blogger ek lafz hai, jis ki do meaning hai. Ek blogging platform aur ek blog par likhne wala shaks ya admi. Blogger ki urdu mein meaning yeh bhi ho sakti hai. Ke article ya content likh kar internet par share karne wala person. Aasan lafzon mein usse blog linkne wala shaks bhi kaha jaskta hai.

Blogger.com ek online blog create karne wali service hai. Jisse blogspot ke name se bhi jana jata hai. Jisse Pyra Labs ne 1998 mein create kiya tha. Aur 2003 mein Google ne hasil kiya tha. Yeh users ke coding ya programing ke bagair internet par content share karne ki zaroorat ko poora karne ke liye banaya gaya tha.

Features of the Blogger platform

Blogger 1998 se blogs ke liye ek ehm platform hai. Yeh Google ki malkiyat hai. Jo bilkul free mein istemal ki jati hai. Iss mein abhi tak millions mein bloggers (Users) kam kar rahe hain. Yahan par apko free mein hosting di jati hai. Free mein blog name (Domain) bhi diya jata hai. Isme aap chaho to premium domain jaise .com, .net, .org etc bhi laga sakte ho. Per uske liye aap ko paise dene hote hain. Iss ka free wala domain .blogspot hai. Jo life time free diya jata hai. Yahan aap apne content jaise text, videos, audios, pictures wagera post kar ke share kar ke sakte ho wo bhi free mein.

Definition | What is a Blog in Urdu

Blog (“weblog” ka short version) ek online journal ya information website hai. Jo maksoos maloomat ya information ko zahir karti hai. Jisme latest posts sab se pehle zahir hoti hain. Yeh ek aisa platoram hai, jahan ek writer ya writers apne khayalat ke izzhar karte hain.

Blog ka maqsad (purpose) kya hai?

Blog use karne ki bohut si wajuhat (purpose) hain. Jaise business, projects, online shopping, etc. shamil hai. Iss waqat duniya mein blogging 99% online paisa kamane ke liye use ki jati hai. Iss ke ilawa apni data mehfooz kar ke liye bhi bohut acha tarika hai.

Blog ka Dhancha (structure)

Waqat ke sath sath blog ki shakal badal gayi hai. Aur in dino blog mein mukhtalif kisam ke items aur widgets shamil hain. Jabke zyada tar blogs mein ab bhi kuch mayari khususiyat aur dhanche shamil hain.

Yahan par ek common features ek typical blog mein shamil hongi.

  • Header ke sath menu ya navigation bar.
  • Main content area ke sath highlighted ya latest blog posts.
  • Sidebar ke sath social profiles, favorite content, ya call-to-action.
  • Footer ke sath relevant links jiase disclaimer, privacy policy, contact page, etc.
What is a Blog in urdu

Oopar blog ka dancha samjhaya gaya hai ke header kaha hota hai, footer kaha hota hai etc…. Inn sab items ki apni khususiyat aur ahmiyat hoti hain. Widgets apko apni help karte hain alag alag features ke liye.

Blogs aur websites

Bohut se log ab bhi sochte hain, ke kya blog aur website mein koi fark (difference) hai.? Blog kya hai aur website kya hai.? Aaj dono ke darmiyan fark (difference) aur bhi mushkil ho chuka hai. Bohut si companies blogs ko apni websites mein zim kar rahi hain. Jo dono ko mazeed uljhata hai.

Difference Between Blog and Website in urdu

Blogs ko bar bar updates ki zaroorat hoti hai. Iss ki achi missalon mein new recipes share karna, food blog sharing ya ek company apni apni industry ki news share karti hai.

Blogs parhne walon ki masroofiyat ko bhi farog deti hai. Aur apne mukhtalif khadshat aur khayalat ko comunity tak share karne ka moqa milta hai. Blog ke owner apni site ko mustakal buniyadon par new blog posts ke sath update karte hain.

Doosri taraf websites apne pages par mushtamil hoti hai. Websites ke owners apni website ke pages update karte hain. Kuch websites par aap register kar ke singin kar skte hon. Jab ke blogs mein aisa nhi hota. Aur website daily bass par update nhi ki jati.

Blogger Par Blog Kaise Banaye

Blogger par blog banane ke liye blogger.com par apni gmail se sigh in karna hoga. aur phir apna display name ki jagha apna name dena hoga. Uss ke apne blog ka name choose kar ke domain name choose karna hoga.l Uss ke bad themes wagera ki setting kr ke start new post se aghaz karna hoga. Iss tarha daily post laga ke publish karte jayen.

Conclusion

Hume Umeed hai, ke aap ne blogger ke bare mein achi information collect kar li hogi. Agar aap ko apna blog start karna hai aur koi bhi help ki zaroorat ho to hum se rabta karen. Yeh post “blogger meaning in urdu” kaisi lagi hume comment box mein zaroor likhen.

One Comment

  1. Sonia September 15, 2023 Reply

Add a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *